Urdu Poetry: Baarish huee to phoolo’n ke tan chaak ho gaye
Baarish huee to phoolo’n ke tan chaak ho gaye
mausam ke haath bheeg ke saffaaq ho gaye
baadal ko kya khabar ki baarish ki chaah mein
kitne buland-o-baala shajar khaak ho gaye
jugnu ko din ke waqt pakadne ki zidd karein
bachche hamaare ahad ke chaalaak ho gaye
lehra rahi hai barf ki chaadar hata ke ghaas
sooraj ki shah pe tinke bhi bebaak ho gaye
sooraj dimaag log bhi iblaag-e-fiqr mein
zulf-e-shab-e-firaaq ke pechaak ho gaye
jab bhi gareeb-e-shehar se kuch guftagu huee
lehje hawa-e-shaam ke namnaak ho gaye
saahil pe jitne aabguzeeda thhey sab ke sab
dariya ke rukh badalte hi tairaak ho gaye.
Poet: PARVEEN SHAKIR
Sent By: Imran From Orkut





