Meer Taqi Meer

Meer Taqi Meer a community on Orkut. Basically this part is only for those members who are registered in this community and are sending their poetry.



Urdu Poetry: Dekh to dil ki jaan se uthta hai By Meer Taqi Meer

Dekh to dil ki jaan se uthta hai ye dhuaa’n sa kahaa’n se uthta hai gor kis dil-jale ki hai ye falak shola ek subah yaa’n se uthta hai khaana-e-dil se zinhaar na jaa koi aise makaa’n se uthta hai naala sar khenchta hai jab mera shor ek aasmaa’n se uthta hai ladti hai uss [...]

Urdu Poetry: Rett par likh ke mera naam mitaaya na karo

Rett par likh ke mera naam mitaaya na karo aankhen sach bolti hain pyaar chupaaya na karo log har baat ka afsaana bana lete hain sab ko haalaat ki rudaad sunaaya na karo

Urdu Poetry: yeh jafa-e-ghum ka chara, voh najaat-e-dil ka aalam

yeh jafa-e-ghum ka chara, voh najaat-e-dil ka aalam tera husn dast-e-iisa, teri yaad rooh-e-mariyam dil-o-jaan fidaayen raahen, kabhi aa key dekh humdum Sar-e-kuu-e-dil figaaraN, shab-e-aarzuu ka aalam

Urdu Poetry: mujhe apna sitaara dhondna hai

Sitaaro’n se bhare uss aasman ki vusa’ton mein mujhe apna sitaara dhondna hai falaq par kehkasha’n dar kehkasha’n ki bekarani hai na iss ka naam hai maloom, na koi nishani hai bas itna yaad hai mujhko

Urdu Poetry: Na rava kahiye na saza kahiye

Na rava kahiye na saza kahiye kahiye kahiye mujhe bura kahiye dil mein rakhne ki baat hai gham-e-ishq iss ko hargiz na barmala kahiye

Urdu Poetry: Safar tanha nahin kerte

Suno!!! Safar tanha nahin kerte, Suno aisa nahin kerte. Jisay shafaaf rakhna ho, Usay mella nahin kerte. Teri aankhain ijaazat dain, To hum kya kya nahin kerte?

Urdu Poetry: Ranj ki jab guftagoo hone lagi

Ranj ki jab guftagoo hone lagi, Aap se tum, tum se tu hone lagi. Chaahiye paigaambar dono taraf, Lutf kyaa jab duu-ba-duu hone lagi.

Urdu Poetry: Dasht-e-tanhai mein aye jaan-e-jahan larzaan hain

Dasht-e-tanhai mein aye jaan-e-jahan larzaan hain teri awaaz ke saaye tere honthon ke saraab dasht-e-tanhai mein doori ke khas-o-khaak tale khil rahe hain tere pahalu ke saman aur gulaab Uth rahi hai kahin qurbat se teri saans ki aanch apni khushboo mein sulagti hui maddham maddham door ufaq par chamakati hui qatra qatra gir rahi [...]

Urdu Poetry: Tere milne ko bekal ho gaye hain

Tere milne ko bekal ho gaye hain magar ye log paagal ho gaye hain bahaarein leke aaye thhey jahaa’n tum wo ghar sunsaan jangal ho gaye hain

Urdu Poetry: Us simat chalay ho to bas itna use kehna

Us simat chalay ho to bas itna use kehna, Ab koi nahi hurf-e-tamanna use kehna!. Us ne hi kaha tha to yaqeen main ne kiya tha, Umeed pe qaaim hai yeh duniya use kehna!.

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...