Wali Dakni

Poetry Of Wali Dakni

Urdu Ghazal: Sanam mera sukhan so'on ashna hai By Wali Dakni

Urdu Ghazal: Sanam mera sukhan so’on ashna hai By Wali Dakni

Sanam mera sukhan so’on ashna hai Mujhe fiker-e-sukhan karna baja hai Chaman mein wasal ke her jalwa yaar Gul-e-range’en bahar-e-mud’dua hai Na bakhshey kion tera khat-e-zindagani Ke moj-e-chashma-e-aab-e-baqa hai

Urdu Ghazal: Sarood-e-aish gawein ham, ager wo ishwa saaz aawey By Wali Dakni

Urdu Ghazal: Sarood-e-aish gawein ham, ager wo ishwa saaz aawey By Wali Dakni

Sarood-e-aish gawein ham, ager wo ishwa saaz aawey Bajawein tabl shadi ke, ager wo dil nawaz aawey Khumar-e-hijer ne diya hai dard-e-ser mujkoon Rakhoon nasha naman akhyaan mein ger wo mast-e-naaz aawey Junoon ishq mein mujh ko’on nahi zanjeer ki hajit Ager meri khaber lene ko’on wo zulf-e-daraz aawey Adab ke ehtamam aage na paawey [...]

Urdu Ghazal: Tera lab dekh haiwa'an yaad aawey By Wali Dakni

Urdu Ghazal: Tera lab dekh haiwa’an yaad aawey By Wali Dakni

Tera lab dekh haiwa’an yaad aawey Tera mukh dekh kin’aan yaad aawey Tere do nain jab dekhoon nazar bher Mujhe tab nergist’aan yaad aawey Teri zulfa’an ki toolani ko’on dekhe Mujhe lail-e-zamist’aan yaad aawey Tere khat ka zomurd rang dekhe Bahar-e-sunbilist’aan yaad aawey

Urdu Ghazal: Jisey ishq ka teer kaari lage By Wali Dakni

Urdu Ghazal: Jisey ishq ka teer kaari lage By Wali Dakni

Jisey ishq ka teer kaari lage Osey zindagi kion na bhaari lage Na chorey mohabbat dam-e-marg tak Jisey yaar jaani so’on yaar lage Na hoey osey jag mein hergiz qarar Jisey ishq ki beqrari lage Her ik waqt mujh ashiq-e-paak ko’on Pyarey teri baat pyari lage

Urdu Ghazal: Kiya mujh ishq ko'on zalim ne aab ahista ahista By Wali Dakni

Urdu Ghazal: Kiya mujh ishq ko’on zalim ne aab ahista ahista By Wali Dakni

Kiya mujh ishq ko’on zalim ne aab ahista ahista Ke aatish-e-gul ko’on kerti hai gulaab, ahista ahista Wafadari ne dilber ki bujhaya aatish-e-gham ko’on Ke germi dafa karta hai ghulaab ahista ahista Ajab kuch lutf rakhta hai shab-e-khilwat mein gul roso’on Khitaab ahista ahista, jawaab ahista ahista Mere dil ko’on kiya be khud teri ankhyaan [...]

Urdu Ghazal: Khob roo khob kaam karte hain By Wali Dakni

Urdu Ghazal: Khob roo khob kaam karte hain By Wali Dakni

Khob roo khob kaam karte hain Yak nigah mein ghulam karte hain Dekh khooba’an ko waqt milne ke Kis adaa so’on salam karte hain Kya wafadar hain ke milne mein Dil so’on sab raam raam karte hain Kam nigahi so’on dekhte hain walley Kaam apna tamaam karte hain

Urdu Ghazal: Main ashqi mein tab so'on afsana ho raha hoon By Wali Dakni

Urdu Ghazal: Main ashqi mein tab so’on afsana ho raha hoon By Wali Dakni

Main ashqi mein tab so’on afsana ho raha hoon Teri nigah ka jab so’on dewana ho raha hoon Aey ashna karam so’on yak baar aadaras de Tujh baj sab jahan so’on begana ho raha hoon Bata’an lagan ki mat poch aey shamma bazm-e-khoobi Muddat so’on tujh jhalak ka parwana ho raha hoon Shayd wo ganj-e-khoobi [...]

Urdu Ghazal: Main tujhe aya hoon ema'an boojh ker By Wali Dakni

Urdu Ghazal: Main tujhe aya hoon ema’an boojh ker By Wali Dakni

Main tujhe aya hoon ema’an boojh ker Ba’isey jami’at-e-ja’an boojh ker Bulbul-e-sheraz koon karta hoon yaad Ho’san ko tere gulista’an boojh ker Dil chala hai ishq ka ho johri Lab tere laal-e-ba’dakhsha’an boojh ker Her nigah karti hai nazarey ki mashq Khat ko tere Khat-e-reha’an boojh ker

Urdu Ghazal: Fida-e-dilber-e-rangeen adaa hoon

Urdu Ghazal: Fida-e-dilber-e-rangeen adaa hoon

Fida-e-dilber-e-rangeen adaa hoon Shaheed-e-shahid-e-gul go’on adaa hoon Her ik meh roo ke milne ka nahi zook Sukhan ke ashna ka ashna hoon Kiya hoon terk nergis ka tamasha Talabgar-e-nigah-e-ba haya hoon Na keh shamshad ki tareef mujh paas Ke main os ser-o-qad ka mubtala hoon

Urdu Poetry: Yaad kerna her ghari os yaar ka By Wali Dakni

Urdu Poetry: Yaad kerna her ghari os yaar ka By Wali Dakni

Yaad kerna her ghari os yaar ka Hai wazeefa mujh dil-e-bimar ka Aarzo-e-chashma-e-koser nahi Tishna lab hoon sharbat-e-deedar ka Aaqbat kya howey ga? maloom nahi Dil howa hai mubtala deedar ka Kya kahey tareef dil hai be nazeer Herf herf os makhzan-e-israr ka Ger howa hai taalib-e-aazadgi Banda mat ho sitjah-e-zanar ka Meend-e-gul manzil-e-shabnam howi [...]