Wali Dakni
Poetry Of Wali Dakni
Poetry Of Wali Dakni
|
|
|
|
Sarood-e-aish gawein ham, ager wo ishwa saaz aawey Bajawein tabl shadi ke, ager wo dil nawaz aawey Khumar-e-hijer ne diya hai dard-e-ser mujkoon Rakhoon nasha naman akhyaan mein ger wo mast-e-naaz aawey Junoon ishq mein mujh ko’on nahi zanjeer ki hajit Ager meri khaber lene ko’on wo zulf-e-daraz aawey Adab ke ehtamam aage na paawey [...]
Kiya mujh ishq ko’on zalim ne aab ahista ahista Ke aatish-e-gul ko’on kerti hai gulaab, ahista ahista Wafadari ne dilber ki bujhaya aatish-e-gham ko’on Ke germi dafa karta hai ghulaab ahista ahista Ajab kuch lutf rakhta hai shab-e-khilwat mein gul roso’on Khitaab ahista ahista, jawaab ahista ahista Mere dil ko’on kiya be khud teri ankhyaan [...]
Main ashqi mein tab so’on afsana ho raha hoon Teri nigah ka jab so’on dewana ho raha hoon Aey ashna karam so’on yak baar aadaras de Tujh baj sab jahan so’on begana ho raha hoon Bata’an lagan ki mat poch aey shamma bazm-e-khoobi Muddat so’on tujh jhalak ka parwana ho raha hoon Shayd wo ganj-e-khoobi [...]
Yaad kerna her ghari os yaar ka Hai wazeefa mujh dil-e-bimar ka Aarzo-e-chashma-e-koser nahi Tishna lab hoon sharbat-e-deedar ka Aaqbat kya howey ga? maloom nahi Dil howa hai mubtala deedar ka Kya kahey tareef dil hai be nazeer Herf herf os makhzan-e-israr ka Ger howa hai taalib-e-aazadgi Banda mat ho sitjah-e-zanar ka Meend-e-gul manzil-e-shabnam howi [...]