Urdu Poetry: Khaatir se ya lihaaz se main maan to gaya
Khaatir se ya lihaaz se main maan to gaya
jhoothi qasam se aap ka imaan to gaya
dil leke muft kehte hain kuch kaam ka nahi’n
ulti shikaayatein rahi’n ehsaan to gaya
ab shaay-e-raaz-e-ishq go zillatein huee’n
lekin usse jata to diya, jaan to gaya
dekha hai butkade mein jo ae sheikh kuch na kuch
imaan ki to ye hai ki imaan to gaya
daraata hoon dekh kar dil-e-be-aarzu ko main
sunsaan ghar ye kyun na ho mehmaan to gaya
go naamaabar se khush na hua par hazaar shuqr
mujhko wo mere naam se pehchaan to gaya
hosh-o-hawaas-o-taab-o-tavaa’n “Daag” ja chuke
ab hum bhi jaane waale hain saamaan to gaya.
Poet: DAAG DEHALVI
Sent By: Imran From Orkut





