Urdu Poetry: Laaee hayaat aaye qazaa le chali chale
Laaee hayaat aaye qazaa le chali chale
na apni khushi aaye na apni khushi chale
behtar to hai yahi ke na duniya se dil lage
par kya karein jo kaam na bedillagi chale
ho umr-e-khizr bhi to kahenge bawaqt-e-marg
ham kya rahe yahaa’n abhi aaye abhi chale
duniya ne kis ka raah-e-fana mein diya hai saath
tum bhi chale chalo yoon hi jab tak chali chale
naazaa’n na ho khirad pe jo hona hai wo hi ho
daanish teri na kuch meri daanishwari chale
kam honge iss bisaat pe hum jaise badqimaar
jo chaal hum chalein wo nihaayat buri chale
ja ki hawa-e-shauq mein hain iss chaman se ‘Zauq’
apni bala se baad-e-saba kahi’n chale
Poet: Ibrahim Zauq
Sent By: Imran From Orkut





