Urdu Poetry: Shaam ko subah-e-chaman yaad aaee
Shaam ko subah-e-chaman yaad aaee
kiski khushbu-e-badan yaad aaee
jab khayaalo’n mein koi modd aaya
tere gesu ki shikan yaad aaee
yaad aaye tere paikar ke khutoot
apni kotaahi-e-fan yaad aaee
chaand jab door ufaq par dooba
tere lehje ki thakan yaad aaee
din shuaao’n se ulajhte guzra
raat aaee to kiran yaad aaee.
Poet: AHMED NADEEM QASMI
Sent By: Imran From Orkut





