Archive for achi ghazal

You are browsing the archives of achi ghazal.

Urdu Poetry: Lab-E-Khamosh Se Afshaa Hoga

Lab-E-Khamosh Se Afshaa Hoga.
Raaz Har Rang Mein Ruswa Hoga.
Dil Ke Sahera Mein Chali Sard Hawa.
Abr Gulzaar Pe Barsa Hoga.
Tum Nahin The To Sar-E-Baam-E-Khayaal.
Yaad Ka Koi Sitara Hoga.
Kis Tawaqqo Pe Kisi Ko Dekhein.
Koi Tum Se Bhi HaseeN Kya Hoga.
Zeenat-E-Halqa-E-Aaghosh Bano.
Door Baithoge To Charagha Hoga.
Zulmat-E-Shab Mein Bhi Sharmate Ho.
Dard Chamkega To Fir Kya Hoga.
Jis Bhi Fankar Ka [...]

Urdu Poetry: Taskeen-e-dil-e-mehzu’n na huee, wo saee-e-karam farma bhi gaye By Majaaz Lakhnavi

Taskeen-e-dil-e-mehzu’n na huee, wo saee-e-karam farma bhi gaye
iss saee-e-karam ko kya kahiye, behla bhi gaye, tadpa bhi gaye
hum arz-e-wafa bhi kar na sake, kuch keh na sake, kuch sun na sake
yaa’n hamne zabaa’n hi kholi thi, waa’n aankh jhuki, sharma bhi gaye
aashuftagi-e-vehshat ki kasam, hairat ki kasam, hasrat ki kasam
ab aap kahein kuch ya na [...]

Urdu Poetry: Har ek harf-e-aarzu ko daastaa’n kiye hue

Har ek harf-e-aarzu ko daastaa’n kiye hue
zamaana ho gaya hai unn ko mehmaa’n kiye hue
suroor-e-aish talkhi-e-hayaat ne bhula diya
dil-e-hazee’n hai bekasi ko hijr-e-jaa’n kiye hue
kali-kali ko gulistaa’n kiye hue wo aayenge
wo aayenge kali-kali ko gulistaa’n kiye hue
sukoon-e-dil ki raahato’n ko unn se maang loon
sukoon-e-dil ki raahato’n ko bekaraa’n kiye hue
wo aayenge to aayenge junoon-e-shauq ubhaarne
wo [...]