Archive for behtreen ghazal

You are browsing the archives of behtreen ghazal.

Urdu Poetry: Udaas kaagazi mausam mein rang-o-bu rakh de

Udaas kaagazi mausam mein rang-o-bu rakh de har ek phool ke lab pe mera lahu rakh de zabaan-e-gul se chattaanein taraashne waale sukoot-e-naqsh mein aaraaish-e-namu rakh de giraa’n lage hai jo ehsaan dast-e-qaatil ka uth aur teg ke lab pe rag-e-gulu rakh de

Urdu Poetry: Rett par likh ke mera naam mitaaya na karo

Rett par likh ke mera naam mitaaya na karo aankhen sach bolti hain pyaar chupaaya na karo log har baat ka afsaana bana lete hain sab ko haalaat ki rudaad sunaaya na karo

Urdu Poetry: Main Khayaal hoon kisi aur ka, mujhe sochta koi aur hai

Main Khayaal hoon kisi aur ka, mujhe sochta koi aur hai, Sar-e aaiinaa mera aks hai, pas-e aaiinaa koi aur hai. Main kisi ki dast-e talab main hoon, to kisii ki harf-e duaa main hoon, Main naseeb hoon kisi aur kaa, mujhe maangtaa koii aur hai.