Archive for Daagh Dehlvi

You are browsing the archives of Daagh Dehlvi.

Urdu Poetry: Khaatir se ya lihaaz se main maan to gaya

Khaatir se ya lihaaz se main maan to gaya
jhoothi qasam se aap ka imaan to gaya
dil leke muft kehte hain kuch kaam ka nahi’n
ulti shikaayatein rahi’n ehsaan to gaya
ab shaay-e-raaz-e-ishq go zillatein huee’n
lekin usse jata to diya, jaan to gaya

Urdu Poetry: Na rava kahiye na saza kahiye

Na rava kahiye na saza kahiye
kahiye kahiye mujhe bura kahiye
dil mein rakhne ki baat hai gham-e-ishq
iss ko hargiz na barmala kahiye

Urdu Poetry: Ranj ki jab guftagoo hone lagi

Ranj ki jab guftagoo hone lagi,
Aap se tum, tum se tu hone lagi.
Chaahiye paigaambar dono taraf,
Lutf kyaa jab duu-ba-duu hone lagi.