Archive for ghazal
You are browsing the archives of ghazal.
You are browsing the archives of ghazal.
aqaayad vaham hai mazahab Khayaal-e-Khaam hai saaqii
azal se zahan-e-i.nsaa.N bast-e-auhaam hai saaqii
haqiiqat-aashanaa_ii asl me.n gum-kardah-raahii hai
uruus-e-aagahii paravardah-e-abahaam hai saaqii
mubaarak ho za_iifii ko Khirad kii falsafaadaanii
javaanii beniyaaz-e-ibrat-e-a.njaam hai saaqii
abhii tak raaste ke pech-o-Kham se dil dha.Dakataa hai
meraa zauq-e-talab shaayad abhii tak Khaam hai saaqii
vahaa.N bhejaa gayaa huu.N chaak karane pard-e-shab ko
jahaa.N har subah ke daaman pe [...]
husn jab mehr’baaN ho to kyaa keejiye
ishq kii maGfirat kii du’aa keejiye
is saliiqe se unse gilaa keejiye
jab gilaa keejiye haNs diyaa keejiye
duusroN par agar tabsiraa keejiye
saamne aaiinaa rakh liyaa keejiye
ap sukh se haiN tark-e-talluq ke baad
itnii jaldii na ye faislaa keejiye
ko’ii dhokhaa na khaa jaaye merii tarah
aise khul ke na sabse milaa keejiye
Shaam ko subah-e-chaman yaad aaee
kiski khushbu-e-badan yaad aaee
jab khayaalo’n mein koi modd aaya
tere gesu ki shikan yaad aaee
yaad aaye tere paikar ke khutoot
apni kotaahi-e-fan yaad aaee
Baarish huee to phoolo’n ke tan chaak ho gaye
mausam ke haath bheeg ke saffaaq ho gaye
baadal ko kya khabar ki baarish ki chaah mein
kitne buland-o-baala shajar khaak ho gaye
jugnu ko din ke waqt pakadne ki zidd karein
bachche hamaare ahad ke chaalaak ho gaye
Apne her her lafz kaa Khud aaieena ho jaaonga,
Us ko chhotaa keh k main kese bara ho jaaonga?
Tum giraane main lage the tum ne sochaa hi nahin,
Main giraa to masala ban kar khara ho jaaongaa.
Khulegi iss nazar pe chashm-e-tar aahista-aahista
kiya jaata hai paani mein safar aahista-aahista
koi zanjeer phir waapas wahee’n par le ke aati hai
kathin ho raah to chhoot’ta hai ghar aahista-aahista
Apni muhabbat k afsaane kab tak raaz banaaoge!
Ruswaayi se darne waalo baat tumhi phelaaoge.
Us ka kya hai tum na sahee to aur buhat,
Tark-e Muhabbat kerne waalon tum tanha reh jaaoge.
Suna hai
Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai
Suna hai sher ka jab pait bhar jaaye
To wo hamla nahin kerta,
Suna hai jab kisi nadi k paani main
Asar usko zara nahi’n hota
ranj raahat faza nahi’n hota
tum hamaare kisi tarah na hue
varna duniya mei kya nahi’n hota
Hum Ghazal mein tera charcha nahi’n hone dete
teri yaado’n ko bhi rusva nahi’n hone dete
kuch to hum khud bhi nahi’n chaahte shohrat apni
aur kuch log bhi aisa nahi’n hone dete