Archive for mohsin naqvi

You are browsing the archives of mohsin naqvi.

Urdu Poetry: Udaasiyon ka ye mousam badal bhi sakta tha By Mohsin Naqvi

Udaasiyon ka ye mousam badal bhi sakta tha,
Wo chahta to mere saath chal bhi sakta tha.
Wo Shakhs tu ne jisay chhorne maiin jaldi ki,
Tere mizaaj k saanche main dhal bhi sakta tha.
Wo jald-baaz khafa ho k chal diyaa warna,
Tanaaziaat ka koi hall nikal bhi sakta tha.
Anna ne haath uthaane nahin diyaa warna,
Meri duaa se wo [...]

Urdu Poetry: Intezar-e saba raha barson By Mohsin Naqvi

Intezar-e saba raha barson,
Ik dareecha khula raha barson.
Aik din unka pyar barsa tha,
Aur main bheegta raha barson.
Un ki aankhon k jaam yaad rahe,
Bin piye bhi nasha raha barson.
Tab kahin ja k ik ghazal likhi,
Main usay sochta raha barson.
Faasle kam na ho sake Mohsin’
Aamna saamna raha barson..
Poet: Mohsin Naqvi

Urdu Poetry: Rett par likh ke mera naam mitaaya na karo

Rett par likh ke mera naam mitaaya na karo
aankhen sach bolti hain pyaar chupaaya na karo
log har baat ka afsaana bana lete hain
sab ko haalaat ki rudaad sunaaya na karo

Urdu Poetry: Safar tanha nahin kerte

Suno!!!
Safar tanha nahin kerte,
Suno aisa nahin kerte.
Jisay shafaaf rakhna ho,
Usay mella nahin kerte.
Teri aankhain ijaazat dain,
To hum kya kya nahin kerte?

Urdu Poetry: Zikr-e shab-e firaaq se wehshat usay bhi thee

Zikr-e shab-e firaaq se wehshat usay bhi thee,
Meri tarah kisi se muhabbat usay bhi thee.
Mujh ko bhi shoq tha naye chehron ki deed ka,
Rasta badal k chalne ki aadal usay bhi thee.