Archive for pure urdu poetry
You are browsing the archives of pure urdu poetry.
You are browsing the archives of pure urdu poetry.
Ae jazbaa-e dil gar main chaahon her cheez muqaabil aajaaye, Manzil k liye do gaam chaloon aur saamne manzil aajaaye. Ae dil ki khalish chal yun hi sahee, chalta to hoon un ki mehfil main, Us waqt mujhe chonka dena jab rang pe mehfil aajaaye. Ae rehbar-e kaamil chalne ko tayyaar to honn per yaad [...]
Darr-e qafas say paray jab hawa guzarti hai Kisay khabar k aseeron pe kya guzarti hai Taluqaat kabhi is qadar na toote thay K teri yaad bhi dil se khafa guzarti hai Wo ab mile bhi to milta hai is tarah jese Bujhe charaag ko chhoo ker hawa guzarti hai Faqeer kab k gaye jungalon [...]
Har ek harf-e-aarzu ko daastaa’n kiye hue zamaana ho gaya hai unn ko mehmaa’n kiye hue suroor-e-aish talkhi-e-hayaat ne bhula diya dil-e-hazee’n hai bekasi ko hijr-e-jaa’n kiye hue kali-kali ko gulistaa’n kiye hue wo aayenge wo aayenge kali-kali ko gulistaa’n kiye hue sukoon-e-dil ki raahato’n ko unn se maang loon sukoon-e-dil ki raahato’n ko bekaraa’n [...]
yeh jafa-e-ghum ka chara, voh najaat-e-dil ka aalam tera husn dast-e-iisa, teri yaad rooh-e-mariyam dil-o-jaan fidaayen raahen, kabhi aa key dekh humdum Sar-e-kuu-e-dil figaaraN, shab-e-aarzuu ka aalam