Archive for shair o shairy
You are browsing the archives of shair o shairy.
You are browsing the archives of shair o shairy.
Har ek harf-e-aarzu ko daastaa’n kiye hue zamaana ho gaya hai unn ko mehmaa’n kiye hue suroor-e-aish talkhi-e-hayaat ne bhula diya dil-e-hazee’n hai bekasi ko hijr-e-jaa’n kiye hue kali-kali ko gulistaa’n kiye hue wo aayenge wo aayenge kali-kali ko gulistaa’n kiye hue sukoon-e-dil ki raahato’n ko unn se maang loon sukoon-e-dil ki raahato’n ko bekaraa’n [...]
Dasht-e-tanhai mein aye jaan-e-jahan larzaan hain teri awaaz ke saaye tere honthon ke saraab dasht-e-tanhai mein doori ke khas-o-khaak tale khil rahe hain tere pahalu ke saman aur gulaab Uth rahi hai kahin qurbat se teri saans ki aanch apni khushboo mein sulagti hui maddham maddham door ufaq par chamakati hui qatra qatra gir rahi [...]
dard ki dawa kya hai main nahi, bura kya hai paas rakhta hai subha shaam marg hai baqa kya hai
Na jee bhar ke dekha na kuch baat ki, Bari aarzoo thee mulaaqat ki. Shab-e-hijir tak ye tashweesh hai, Musaafir ne jaane kahan raat ki.!!
Apne her her lafz kaa Khud aaieena ho jaaonga, Us ko chhotaa keh k main kese bara ho jaaonga? Tum giraane main lage the tum ne sochaa hi nahin, Main giraa to masala ban kar khara ho jaaongaa.
Khulegi iss nazar pe chashm-e-tar aahista-aahista kiya jaata hai paani mein safar aahista-aahista koi zanjeer phir waapas wahee’n par le ke aati hai kathin ho raah to chhoot’ta hai ghar aahista-aahista
kya rasmi rasmi mukalamay,mujhay dil say pyar nahi kya mujhay aitabar to kah dia,mera aitabar nahi kya mere fard_e_jurm say aashna,sabhi jantay hay yeh majra kay siway sabar kay koi rasta iktiar nahi kya
yahan har shakhas har Pal Hadsa hone sai darta hai Khilona hai mitti kaa Fana honay se darta hai
Suna hai Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai Suna hai sher ka jab pait bhar jaaye To wo hamla nahin kerta, Suna hai jab kisi nadi k paani main
Yaar ko maine mujhe yaar ne sone na diya raat bhar taali-e-bedaar ne sone na diya ek shab bulbul-e-betaab ke jaage na naseeb pehlu-e-gul mein kabhi khaar ne sone na diya