Archive for shairi
You are browsing the archives of shairi.
You are browsing the archives of shairi.
Mere Hum-Rahi Suno,
Aao Chale Chaand Ke Paar
Aisi Duniya Mein Kahin Door.
Jisme Na Gham Ho Na Aansu Ho,
Na Aanhe Ho Kahin,
Aur Khushiya Ho,
Tera Pyar Ho,
Mere Aas Paas,
Mere Paas Paas.
Kabhi Tanha Jo Huyi Tum,
Kahin Zindagi Ke Safar Mein,
To….
Meri Awaz Sunogi TUM Apni Hi Dhadkano Mein.
Zindagi Mujhko Jab Kabhi,
Tujhse Juda Bhi Kar De,
To….
Band Aankho Ki Nazron Se
Tujhe Dekhoon.
Tujhe [...]
KARE GAIR QURBAT KI PUJA TO KAFIR
JO TEHRAYE BAITA KHUDA KA TO KAFIR
JHUKE AAG PAR BEHRE SIJDA TO KAFIR
KOH AKAB MAIN MANE KARISHMA TO KAFIR
MAGAR MOMINO PAR KUSHADA HAI RAHE
PARSHATISH KARE,SHOAQ SE JIS KI CHAHE
NABI KO JO CHAHE KHUDA KAR DIKHAE
IMAMO KA RUTBA NABI SE BADHAYE
MAZARO PE DIN RAT NAZRE CHADHAYE
SHAHIDO SE JA JAKE MANGE [...]
Ye Alag Baat Hai Saaqi Mujhe Hosh Nahin.
Hosh Itna Hai Ki Main Tujhse Faraamosh Nahin.
Main Teri Mast Nigaahi Ka Bharam Rakh Loonga.
Hosh Aaya Bhi To Kah Doonga Mujhe Hosh Nahi.
Yaad Itna Hain Ki Pahuncha Dar-E-Dilruba Tak.
Kya Kahoon Aage Ki, Aage Ka Mujhe Hosh Nahin..
Kabhi Un Mad Bhari AankhoN Se Piya Tha Ek Jaam.
Aaj Tak Hosh [...]
Yun saja chaand k jhalka tere andaaz ka rang,
Yun faza mehaki k badla mere hum-raaz ka rang.
Saya-e chashm main hairaan rukh-e roshan ka jamaal,
Surkhi-e lab pe pareshaan teri aawaaz kaa rang.
Be-piye hon k agar lutf karo aakhir-e shab,
Sheesha-e may main dhale subah k aaghaz ka rang.
Ik sukhan aur k phir rang-e takallum tera,
Harf-e sada ko [...]
Raaz-e ulfat chhupa k dekh liya,
Dil buhat kuch jala k dekh liya.
Aur kya dekhne ko baaqi hai?
Aap se dil laga k dekh liyaa.
Wo mere hoke bhi mere na hue,
Un ko apna bana k dekh liyaa.
Aaj un ki nazar main kuch humne,
Sab ki nazrain bacha k dekh liyaa.
Aas us dar se toot’ti hi nahin,
Ja k dekha, [...]
Nahin Minnat-Kash-E-Taab-E-Shaneedan DastaaN Meri.
Khamoshi Ghuftagoo, Be-Zubani Hai ZabaaN Meri.
Ye Dastoor-e-ZabaaN-Bandi Hai Kaisi Teri Mahefil Mein.
Yahan To Baat Karne Ko Tarasti ZabaaN Meri.
Uthaye Kuch Waraq Lala Ne Kuch Nargis Ne Kuch Gul Ne.
Chaman Mein Har Taraf Bikhri Huyi Hai DastaaN Meri.
Tapak Aye Shama ! Aanshu Ban Ke Parwane Ki Aankho Se.
Sarapa Dard Hoon Hasrat Bhari Hai [...]
Dil Mein Kisi Ke Raah Kiye Jaa Raha Hoön Main.
Kitna Haseen Gunah Kiye Jaa Raha Hoon Main.
Duniya-E-Dil Tabah Kiye Jaa Raha Hoon Main.
Sarf-E-Nigah-O-Aah Kiye Jaa Raha Hoon Main.
Fard-E-Amal Siyaah Kiye Jaa Raha Hoon Main.
Rahmato*N Ko Bepanaah Kiye Jaa Raha Hoon Main.
Aisi Bhi Ik Nigaah Kiye Jaa Raha Hoon Main.
Zarro Ko Maher-0-Maah Kiye Jaa Raha Hoon [...]
Baarish huee to phoolo’n ke tan chaak ho gaye
mausam ke haath bheeg ke saffaaq ho gaye
baadal ko kya khabar ki baarish ki chaah mein
kitne buland-o-baala shajar khaak ho gaye
jugnu ko din ke waqt pakadne ki zidd karein
bachche hamaare ahad ke chaalaak ho gaye
Apni muhabbat k afsaane kab tak raaz banaaoge!
Ruswaayi se darne waalo baat tumhi phelaaoge.
Us ka kya hai tum na sahee to aur buhat,
Tark-e Muhabbat kerne waalon tum tanha reh jaaoge.