Archive for shairo shairy
You are browsing the archives of shairo shairy.
You are browsing the archives of shairo shairy.
Bina Ik Lafz Bolay Wo Gaya Or Phir Nahi Aaya
bazahir aam lehjay main
kaha tha main ne jab us se
“badal lo raasta apna
juda rahain yaheen karlo
hamaray chahnay na chahnay se
kuch nahi hota
ye hi sach hai ke hum do mukhtalif
raston ke raahi hai
to phir kion dil ki manain hum
shuru main manti hoon main
azziyat dil ko pohanchay gi
magar [...]
Aks-e khushboo hon bikharne se na roke koi,
Aur bikhar jaaon to mujh ko na samete koi.
Kaanp uthti hon main ye soch k tanhaayi main,
Mere chehre pe tera naam na parh le koi.
Jis tarah khuwaab mere ho gaye reza reza,
Us tarah se na kabhi toot k bikhre koi.!
Main to us din se hiraasaa’n hon k jab [...]
Bohat Mushkil Hai Meri Janaa
Bina Jurm-o-Khata Khud Ko Koii Aisii Saza Deyna
Bohat Mushkil Hai Meri Janaa!! Tumhein Bilkul Bhula Deyna
Mere Maula! Agar Tuu Ney Doobara Zindagii Bakhshii
To Bas Itnii Guzarish Hai, Mujhe Patthar Bana Deyna
Main Zehnii Tor Par Khud Ko Zara Tayyar Kar Loongi
Bichar Janey Sey Kuch pehley HAMDAM Bata Deyna
Tumhari Yeh Shararat Aaj Tak [...]
Teri baatain hi sunaane aaye,
Dost bhi dil hi dukhaane aaye.
Phool khilte hain to hum sochte hain,
Tere aane k zamaane aaye.
Aisi kuch chup see lagi hai jese,
Hum Tujhe haal sunaane aaye.
Ishq tanha hai sar-e manzil-e gham,
Kon ye bojh uthaane aaye!!
Ajnabi, Dost humain dekh k humain,
Kuch tujhe yaad dilaane aaye.
Dil dharakta hai safar k hangaam,
Kaash! phir koi [...]
Kuch to…
Kuchh To Majbooriyan Rahi Hongi,
Yoon Koi Bewafa Nahin Hota…
Guftugu unse roz hoti hai…
muddaton samna nahi hota…
Gee boht chahta hai such bolen
kya kren hosla nahi hota…?
Rat ka intezar kon kre?
Aj kal din men kya nahi hota?
Aik tum he na hmare huay…
Warna dunya men kya nahi hota…!
Poet: Bashir Badar
Muhabbat Shairi Hurgiz Nahi Hay
Theek Kehtey Hain
Mohabbat To Kisi Bay Deep Qabristaan Ki
Boseeda Si Ik Qaber Per Woh Nassb Katba Hay
Key Jiss Per Saaf Likha Ho
Shaheed-e-Raah-e-Ulfat
Ashiq-e-Nakaam Ka Marqad
Mohabbat Aik Katba Hay
Laga Hota Hay Jo Aksar
Kabhi Layla Kay Marqad Per
Kabhi Majnoo Ki Hasrat Per
Kabhi Soni Kay Matkay Per
Kabhi Ranjhay Kay Teeron Per
Mohabbat Aik Katba Hay…
Kay Jis [...]
badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN
ke chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa huuN maiN
tujhii pe Khatm hai jaanaaN mire zavaal kii raat
tuu ab tulu bhii ho jaa, ke Dhal rahaa huuN maiN
bulaa rahaa hai miraa jaamaa-zeb milne ko
to aaj pairahan-e-jaaN badal rahaa huuN maiN
Ghubaar-e-rahguzar kaa ye hauslaa bhii to dekh
havaa-e-taazaa! tire [...]
Zinda rahain to kya hai? jo mar jaayen hum to kya?
Duniya se khamoshi se guzar jaayen hum to kya?
Hasti hi apni kya hai zamaane k saamne,
Ik khuwab hain jahaan’ main bikhar jaayen hum to kya?
Ab kon muntazir hai humare liye wahaan?
Shaam aa gayi hai lot k ghar jaayen hum to kya?
Dil ki khalish to sath [...]
Tujhe ishq ho khuda Karay
koi usko tujh se juda karay
teray hont hasna bhool jaye
teri ankh num raha karay
to uski baatain kiya karay
to uski baatain suna karay
to us ko dekh ker ruka karay
wo tujhe dekh ker chala karay
Us simat chalay ho to bas itna use kehna,
Ab koi nahi hurf-e-tamanna use kehna!.
Us ne hi kaha tha to yaqeen main ne kiya tha,
Umeed pe qaaim hai yeh duniya use kehna!.