Archive for shayari

You are browsing the archives of shayari.

Urdu Poetry: Dil Mein Kisi Ke Raah Kiye Jaa Raha Hoön Main By Jiger

Dil Mein Kisi Ke Raah Kiye Jaa Raha Hoön Main. Kitna Haseen Gunah Kiye Jaa Raha Hoon Main. Duniya-E-Dil Tabah Kiye Jaa Raha Hoon Main. Sarf-E-Nigah-O-Aah Kiye Jaa Raha Hoon Main. Fard-E-Amal Siyaah Kiye Jaa Raha Hoon Main. Rahmato*N Ko Bepanaah Kiye Jaa Raha Hoon Main. Aisi Bhi Ik Nigaah Kiye Jaa Raha Hoon Main. [...]

Urdu Poetry: Hum un se agar mil baith’te hain kyaa qusoor humara hota hai

hum un se agar mil baith’te hain kyaa qusoor humara hota hai kuchh apani sharaarat hotii hai kuchh un ka ishara hota hai katne lagin raatein aankhon mein dekha nahin palakon pe aksar kabhi shaam-e-GareebaN ka jugnoo kabhi subah ka tara hota hai hum dil ko liye har des phire is jins kaa gahak mil [...]

Urdu Poetry: Zameen pe chal na saka aasmaan se bhi gaya

Zameen’ pe chal na saka aasmaan se bhi gaya, Katte jo parr to parinda urraan se bhi gaya. Bhula diya to bhulaane ki intaha ker dee, Ab wohi shakhs mere wehm-o gumaan se bhi gaya. Kisi k haath se nikla huaa wo teer hoon main, Hadaf ko chhoo na saka aur kamaan se bhi gaya. [...]

Urdu Poetry: Lagta nahin k saath nibhaaye ga dair tak

Lagta nahin k saath nibhaaye ga dair tak, Laikin wo mujh ko bhool na paayega dair tak. Jo bhi qareeb aayega us k, usay zaroor, Wo meri daastaan sunaayega dair tak. Dhoondega wo mujhe inhi galiyon main aik din, Dhoondega aur mujh ko na paayega dair tak. Main saahilon ki rait pe likhoonga us ka [...]

Urdu Poetry: Safar ki had hai vahaaN tak ke kuchh nishaan rahe

Safar ki had hai vahaaN tak ke kuchh nishaan rahe chale chalo ke jahaaN tak ye aasman rahe ye kyaa uThaaye qadam aur aa gayi manzil mazaa to jab hai ke pairon mein kuchh thakan rahe wo shaKhs mujh ko koii jaal-saaz lagataa hai tum us ko dost samajhate ho phir bhi dhyaan rahe mujhe [...]

Urdu Poetry: Wafaa Ke Sheesh Mahal Mein Sajaa Liyaa Main’ne By Qateel Shifaii

Wafaa Ke Sheesh Mahal Mein Sajaa Liyaa Main’ne., Wo Ek Dil Jise Patthar Bana Liyaa Main’ne. Ye Soch Kar Ki Na ho Taak MeIn Khushi koi GHamon ki OT meIn Khud Ko Chhupaa Liyaa main’ne. Kabhi na Khatm kiyaa main’ne roshani ka Muhaaz. Agar ChiraaGH bujha, Dil Jalaa liyaa main’ne. [muhaaz=procession] kamaal ye hai ki [...]

Urdu Nazam: Raat behad chup hai By Munir Niazi

Raat behad chup hai aur us ka andhera surmagee’n shaam padte hi damakte thhey jo rango’n ke nagee’n door tak bhi ab kahee’n uss ka nishaa’n milta nahi’n ab to badhta aayega ghanghor baadal chaah ka uss mein behti aayegi ek madbhari meethi sada dil ke soone shehar mein goonjega nagma chaah ka raat ke [...]