Archive for urdu ghazal
You are browsing the archives of urdu ghazal.
You are browsing the archives of urdu ghazal.
Shaayad Aa Jayega Saaqi Ko Taras Ab Ke Baras. Mil Na Paya Hai Un Aankhon Ka Bhi Ras Ab Ke Baras. Aisi Chhayi Thi Kahan Gham Ki Ghatayein Pahele. Haan Mere Deedar-E Tar Khoob Baras, Ab Ke Baras. Uff Wo Un Mad Bhari Aankhon Ke Chhalakte Huye Jaam. Badh Gayi Aur Bhi Peene Ki Lalak [...]
Tere Jamal Ki Tafseer Kar Raha HoOn Main. Tasworaat Ko Tasweer Kar Raha HoOn Main. Jo KHWAB dekha tha main Ne MujhE Wo Yaad NahiN. Bayan KHWAB Ki Tabeer Kar Raha HoOn Main. Ye KAm NahiN Hai K Munsif HoOn Main Bus Aaj Ke Din. Abhi To Faisla E Tehreer Kar Raha Hoon main. Tareeqa [...]
Dard badhkar fugaa’n na ho jaaye ye zamee’n aasmaa’n na ho jaaye dil mein dooba hua jo nashtar hai mere dil ki zubaa’n na ho jaaye dil ko le leejiye jo lena hai phir ye sauda giraa’n na ho jaaye aah keeje magar lateef-tareen lab tak aakar dhuaa’n na ho jaaye. Poet: Jigar Moradabadi
Har Gosha Gulistaan Tha Kal Raat Jahan Main Tha. Ek Jashn-E BahaaraN Tha Kal Raat Jahan Main Tha. Naghame The Hawaon Mein Jadoo Tha Fazaon Mein. Har Saans GazalfaaN Tha Kal Raat Jahan Main Tha. Dareeya-E Mahobbat Mein Qashti Thi Jawaani Ki. Jazbaat Ka Tufaan Tha Kal Raat Jahan Main Tha. Maahtaab Tha Bahon Mein [...]
Main to aawara shaayar hoon meri kyaa vaqa’at ek do geet pareshan se gaa leta hoon gahe-gahe kisi naakaam sharaabi ki tarah ek do zehar ke saagar bhi chadha leta hoon tu ke ek waadi-e-gulrang ki shehzaadi hai ek bekaar se insaan ke liye vaqf na ho tere khwaabo’n ke jazeero’n mein badi raunaq hai [...]
Dil ki dhadhkan hai,khyaalon mein mere rehta hai. Kaun hai woh, jo swaalon mein mere rehta hai. Jis ka dekha na khwaab us se wafa karta hoon. Dil ke aaine mein main us se mila karta hoon. Main nahin jaanta yeh kis ki aas hai mujh ko. Kis ka armaan iraadon mein mere rehta hai. [...]
Duniya Mein Hoon Duniya Ka Talab Gaar Nahin Hoon. Bazaar Se Guzara Hoon Kharidaar Nahi Hoon. Zinda Hoon Magar Zeest Ki Lazzat Nahin Baaqi.. Har Chand Ki Hoon Hosh Mein Hoshiyaar Nahi Hoon. Afsuda Hoon Ibrat Se Dawaa Ki Nahin Haajat. Gham Ka Mujhe Ye Zauf Hai Bimaar Nahin Hoon. Wo Gul Hoon KhizaaN Ne [...]
Mohabbat Mujhe Thi Usse Itni Sanam, Yaadon Mein Dil Tadapta Raha, Maut Bhi Meri Chahat Ko Rok Na Saki, Kabar Mein Bhi Dil Dhad-kta Raha. Mere Is Virane Dil Meiin Chahat Ka Phool Hai Khila, Mere Nashib Se Mujhe Aapka Pyaar Mila. Koi Sham Aati Hai Tumhari Yaad Lekar, Koi Sham Jati Hai Tumhari Yaad [...]
Vo he gardishain vo he paich-o-kham teray baad bhi Vo he hauslay meray dam ba-dam teray baad bhi Teray saath bhi teri her jafa mujhay moetabar Teray saaray gham mujhay muhtaram teray baad bhi Teray gham se hai meri her khushi mein waqaar sa Meray haal pe hain teray karam teray baad bhi Baray muztarib [...]
Zeest aazaar huee jaati hai saans talwaar huee jaati hai jism bekaar hua jaata hai rooh bedaar huee jaati hai kaan se dil mein utarti nahi’n baat aur guftaar huee jaati hai dhal ke nikli hai haqeeqat jab se kuch pur-asraar huee jaati hai ab to har zakhm ki munhband kali lab-e-izhaar huee jaati hai [...]