Archive for urdu ghazal
You are browsing the archives of urdu ghazal.
You are browsing the archives of urdu ghazal.
Isee sabab se hain shayad,azaab jitne hain jhatak ke phenk do palko’n pe khwaab jitne hain watan se ishq, gareebi se bair, aman se pyaar sabhi ne odh rakhe hain naqaab jitne hain samajh sake to samajh zindagi ki uljhan ko sawaal utne nahi hain, jawaab jitne hain. Poet: Jaan Nisar Akhtar
Ek ju-e-dard dil se jigar tak ravaa’n hai aaj pighla hua rago’n mein ek aatish-fishaa’n hai aaj lab see diye hain taa na shikaayat kare koi lekin har ek zakhm ke munh mein zabaa’n hai aaj taareekiyo’n ne gher liya hai hayaat ko lekin kisi ka ru-e-hasee’n darmiyaa’n hai aaj jeene ka waqt hai yahi, [...]
Aap ki yaad aati rahi raat bhar chashm-e-nam muskuraati rahi raat bhar raat bhar dard ki shamma jalti rahii gham ki lau thartharaati rahi raat bhar baansuri ki sureeli suhaani sada yaad ban-ban ke aati rahi raat bhar yaad ke chaand dil mein utarte rahe chaandni jagmagaati rahi raat bhar koi deewaana galiyo’n mein phirta [...]
Thokar lagi to apne muqaddar pe ja gira, Phir yun huaa k aaieena pathar pe ja gira. Ehsaas-e farz jab bhi huaa neend aa gayee, Chalna tha pul-saraat pe, bistar pe ja gira. Baazi Muhabbaton ki jahaalat ne jeet lee, Wo ban gata khateeb jo Mimber pe ja gira. Khushboo qasoor-waar nahi, is ko chhor [...]
Paao’n choo lene do phoolo’n ko inaayat hogi warna hum ko bhi nahi’n inko bhi shikaayat hogi aap jo phool bichaaye unhe hum thukraayein humko darr hai ke ye tauheen-e-mohabbat hogi dil ki bechain umango pe karam farmaao itna ruk-ruk ke chaloge to qayaamat hogi sharm roke hai idhar, shauq udhar kheeche hai kya khabar [...]
Go sab ko baaham saagar-o-baada to nahi’n tha ye shehar udaas itna zyaada to nahi’n tha vaaiz se rah-o-rasm rahi rind se sohbat farq in mein koi itna zyaada to nahi’n tha thak kar yoon hi pal bhar ke liye aankh lagi thi so kar hi na utthein ye iraada to nahi’n tha. Poet: FAIZ [...]
Aks-e khushboo hon bikharne se na roke koi, Aur bikhar jaaon to mujh ko na samete koi. Kaanp uthti hon main ye soch k tanhaayi main, Mere chehre pe tera naam na parh le koi. Jis tarah khuwaab mere ho gaye reza reza, Us tarah se na kabhi toot k bikhre koi.! Main to us [...]
Shareer jhoonke hawa k amaan main na rahe, Pakke jo phal to shajar ki kamaan main na rahe. Uchhal k choom rahe the hawaa k haathon ko, Naddi main doob gaye jo chataan main na rahe. Parra ha sakht masaail ka saamna sab ko, K meethe lehje kisi ki zabaan main na rahe. Najaane kon [...]
Lab Pe Tere IQraar-E-Mohabbat Sher Ghazal Ka Lagta Hai. Sharam Se Chahera Laal Gulaabi Phool Kamal Ka Lagta Hai. Dil Ko Nazar Se Takraye Bhi Ek Zamaana Beet Gaya. Choat Magar Hai Itni Taza Hadsa Kal Ka Lagta Hai. Bekhud Ho Kar Mast Hawayein Aise Kab Lahrati Thin. Ye Jaadoo To Halka Halka Us Aanchal [...]
Udaasiyon ka ye mousam badal bhi sakta tha, Wo chahta to mere saath chal bhi sakta tha. Wo Shakhs tu ne jisay chhorne maiin jaldi ki, Tere mizaaj k saanche main dhal bhi sakta tha. Wo jald-baaz khafa ho k chal diyaa warna, Tanaaziaat ka koi hall nikal bhi sakta tha. Anna ne haath uthaane [...]