Archive for urdu kalaam
You are browsing the archives of urdu kalaam.
You are browsing the archives of urdu kalaam.
Haqeeqat jan kar aisi himaqat kon karta hai ?
Bhala be faiz logon se mohabbat kon karta hai ?
Batao jis tijarat mein khasara hi khasara ho …….
Bina sochay khasaray ki tijarat kon karta hai ?
Hamein hi ghalat fehmi thi,kisi ke wastay warna,
Zamanay ke riwajon se baghawat kon karta hai ?
Khuda ne sabar karne ki mujhe toufeeq [...]
Aadat hi bana lee hai, is sheher k logon ne,
andaaz badal lena
aawaaz badal lena
dunya ki mohabbat main
atwaar badal lena
mausam jo naya aaye
raftaar badal lena
ehbaab badal lena
aadat hi bana lee hai is sheher k logon ne
rastay main agar milna
nazron ko jhuka lena
aawaaz agar do to
katra k nikal jaana
her ik say judaa rehna
her ik say khafaa rehna..
her [...]
Aap ki yaad aati rahi raat bhar
chashm-e-nam muskuraati rahi raat bhar
raat bhar dard ki shamma jalti rahii
gham ki lau thartharaati rahi raat bhar
baansuri ki sureeli suhaani sada
yaad ban-ban ke aati rahi raat bhar
yaad ke chaand dil mein utarte rahe
chaandni jagmagaati rahi raat bhar
koi deewaana galiyo’n mein phirta raha
koi aawaaz aati rahi raat bhar.
Poet: Makhdoom Mohiuddin
Mohabbat karne waale kam na honge
teri mehfil mein lekin hum na honge
zamaane bhar ke gham ya ek tera gham
ye gham hoga to kitne gham na honge
dilo’n ki uljhanein badhti rahengi
agar kuch mashvare baaham na honge
agar tu ittefaaqan mil bhi jaaye
teri furqat ke sadme kam na honge
‘Hafeez’ unn se main jitna badgumaa’n hoon
wo mujh se iss [...]
Misl-e-khayaal aaye thhey aakar chale gaye
duniya hamaari gham ki basa kar chale gaye
phoolo’n ki aas dil se lagaaye hue thhey hum
kaante wo raaste mein bichha kar chale gaye
aayee na thi hamaare chaman mein bahaar abhi
wo khwaab aashiyaa’n mein laga kar chale gaye
bhoole se bhi kabhi na dil hum bhula sake
dil se hamein wo apne bhula [...]
Raat bhar deeda-e-namnaak mein lehraate rahe
saans ki tarah se aap aate rahe, jaate rahe
khush thhey hum apni tamannaao’n ka khwaab aayega
apna aramaan bar-afganda naqaab aayega
nazarein neechi kiye sharmaaye hue aayega
kaakulein chehre pe bikharaaye hue aayega
aa gaee thi dil-e-muztar mein shakebaai si
baj rahi thi mere gham-khaane mein shehnaai si
shab ke jaage hue taaro’n ko bhi neend [...]
Tabiyat in dino begana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai
qayaamat kya! ye ae husn-e-do-aalam hoti jaati hai
ke mehfil to wahi hai, dilkashi kam hoti jaati hai
wahi mai-khaana-o-sahba, wahi saagar, wahi sheesha
magar aawaaz-e-nusha’anosh maddham hoti jaati hai
wahi hai shaahid-o-saaqi magar dil bujhta jaata hai
wahii hai shamma lekin raushni kam hoti [...]
kabhi akele main milkar jhanjhod doonga usse
jahan jahan se wo toota hai jod doonga usse
mujhe chod gaya ye kamaal hai uska
irada maine kiya tha k chod doonga usse
paseene baant-ta phirta hai har taraf sooraj
kabhi jo haath laga to nichod doonga usse
maza chakha k hi maana hoon main bhi duniya ko
samjh rahi thi k aise hi [...]
Ek taraf shola-e-guftar chalo dekhe ge
Ek taraf jalwa-e-kirdar chalo dekhe ge
Kyon hai wo nakhus wa baizar chalo dekhe ge
Hum hai darasal khatakar chalo dekhe ge
Kufr-w-alhad ki yalgar chalo dekhe ge
Masjide hogayi masmar chalo dekhe ge
Kis ne gardab se sahil pe lagai kashti
Kis ke hato main hai patwar chalo dekhe ge
Qafile walo ke pairo se tapakta [...]
AAj phir se…..
SILwaton ko chand ki chu kar aane ki tammana hui,
aaj teri bahoon mein pighal jaane ki tammanna hui,
karti hai bahut nakhre meri hasrtein aajkal,
unke saare nakhre aaj dilo jaan se uthane ki tammanna hui,
keh rahi hai kismat ki khud ko dhoka dekar toh dekh,
aaj uski kahi baat ko ajmaane ki tammanna hui,
veeran sa [...]