Archive for urdu poetry by jaan nisar akhter
You are browsing the archives of urdu poetry by jaan nisar akhter.
You are browsing the archives of urdu poetry by jaan nisar akhter.
Isee sabab se hain shayad,azaab jitne hain
jhatak ke phenk do palko’n pe khwaab jitne hain
watan se ishq, gareebi se bair, aman se pyaar
sabhi ne odh rakhe hain naqaab jitne hain
samajh sake to samajh zindagi ki uljhan ko
sawaal utne nahi hain, jawaab jitne hain.
Poet: Jaan Nisar Akhtar