Archive for urdu shaire

You are browsing the archives of urdu shaire.

Urdu Poetry: Har ek chehare ko zaKhmo.n kaa aa_iinaa na kaho By Rahat Indori

Har ek chehare ko zaKhmo.n kaa aa_iinaa na kaho ye zindagii to hai rahamat ise sazaa na kaho na jaane kaun sii majaburiyo.n kaa qaidii ho vo saath chho.D gayaa hai to bevafaa na kaho tamaam shahar ne nezo.n pe kyuu.N uchhaalaa mujhe ye ittefaaq thaa tum is ko haadasaa na kaho ye aur baat [...]

Urdu Nazam: Aaj phir se sILwaton ko chand ki chu kar aane ki tammana hui

AAj phir se….. SILwaton ko chand ki chu kar aane ki tammana hui, aaj teri bahoon mein pighal jaane ki tammanna hui, karti hai bahut nakhre meri hasrtein aajkal, unke saare nakhre aaj dilo jaan se uthane ki tammanna hui, keh rahi hai kismat ki khud ko dhoka dekar toh dekh, aaj uski kahi baat [...]

Urdu Azaad Nazam: December jab bhi aata hai

“December jab bhi aata hai”, Wo pagli phir se beete mousam ko, Yaad kerti hai, Puraane cards parhiti hai, k jis main us ne likha tha, Main Lotoonga December main.. Naye kapre banaati hai, Wo saara ghar sajaati hai, December k her ik din ko Wo gin gin ker bitaati hai.. Joonhi 15 guzarti hai [...]

Urdu Poetry: Haal-E-Dil Main Ne Jo Duniya Ko Sunana Chaha

Haal-E-Dil Main Ne Jo Duniya Ko Sunana Chaha. Mujh ko Har Shakhs Ne Dil Apna Dikhana Chaha. Apni Tasweer Banane Ke Liye Duniya Mein. Main Ne Har Rang Pe Ek Rang Charhana Chaha. Khaaq-E-Dil Zauhar-E-Aayina Ke Kaam Aa Gayi. Laakh Duniya Ne Nigahon Se Giraana Chaha. Shola-E-Barg Se Gulshan Ko Bachane Ke Liye. Main Ne [...]

Urdu Poetry: Nahin Minnat-Kash-E-Taab-E-Shaneedan DastaaN Meri By Allama Iqbal

Nahin Minnat-Kash-E-Taab-E-Shaneedan DastaaN Meri. Khamoshi Ghuftagoo, Be-Zubani Hai ZabaaN Meri. Ye Dastoor-e-ZabaaN-Bandi Hai Kaisi Teri Mahefil Mein. Yahan To Baat Karne Ko Tarasti ZabaaN Meri. Uthaye Kuch Waraq Lala Ne Kuch Nargis Ne Kuch Gul Ne. Chaman Mein Har Taraf Bikhri Huyi Hai DastaaN Meri. Tapak Aye Shama ! Aanshu Ban Ke Parwane Ki Aankho [...]

Urdu Poetry: Jab se uss ne shehar ko chhoda har rasta sunsaan hua By Mohsin Naqvi

Jab se uss ne shehar ko chhoda har rasta sunsaan hua apna kya hai saare shehar ka ek jaisa nuksaan hua mere haal pe hairat kaisi dard ke tanha mausam mein patthar bhi ro padte hain insaan to phir insaan hua uske zakhm chhupa kar rakhiye khud uss shakhs ki nazaro’n se uss se kaisa [...]

Urdu Poetry: Lagta nahin k saath nibhaaye ga dair tak

Lagta nahin k saath nibhaaye ga dair tak, Laikin wo mujh ko bhool na paayega dair tak. Jo bhi qareeb aayega us k, usay zaroor, Wo meri daastaan sunaayega dair tak. Dhoondega wo mujhe inhi galiyon main aik din, Dhoondega aur mujh ko na paayega dair tak. Main saahilon ki rait pe likhoonga us ka [...]

Urdu Poetry: Safar ki had hai vahaaN tak ke kuchh nishaan rahe

Safar ki had hai vahaaN tak ke kuchh nishaan rahe chale chalo ke jahaaN tak ye aasman rahe ye kyaa uThaaye qadam aur aa gayi manzil mazaa to jab hai ke pairon mein kuchh thakan rahe wo shaKhs mujh ko koii jaal-saaz lagataa hai tum us ko dost samajhate ho phir bhi dhyaan rahe mujhe [...]

Urdu Poetry: Lab-E-Khamosh Se Afshaa Hoga

Lab-E-Khamosh Se Afshaa Hoga. Raaz Har Rang Mein Ruswa Hoga. Dil Ke Sahera Mein Chali Sard Hawa. Abr Gulzaar Pe Barsa Hoga. Tum Nahin The To Sar-E-Baam-E-Khayaal. Yaad Ka Koi Sitara Hoga. Kis Tawaqqo Pe Kisi Ko Dekhein. Koi Tum Se Bhi HaseeN Kya Hoga. Zeenat-E-Halqa-E-Aaghosh Bano. Door Baithoge To Charagha Hoga. Zulmat-E-Shab Mein Bhi [...]

Urdu Poetry: Ishq ne dil mein jagah ki to qaza bhi aaee By Faani Badayuni

Ishq ne dil mein jagah ki to qaza bhi aaee dard duniya mein jab aaya to dawa bhi aaee dil ki hasti se kiya ishq ne aagaah mujhe dil jab aaya to dhadakne ki sada bhi aaee sadqe utarenge, aseeraan-e-qafas chhoote hain bijaliyaa’n leke nasheman pe ghata bhi aaee haan! na tha baab-e-asr band, magar [...]