Archive for urdu shairi

You are browsing the archives of urdu shairi.

Urdu Poetry: IK DEEPAK AAS KA HAMNE BHI JALYAA THAA

IK DEEPAK AAS KA HAMNE BHI JALYAA THAA KHUDA KE AAGE DUA KA HATH FAILAYA THAA USNE BHI SUN KE ANSUNA SAA KER DIYA OR BJAYE PHOOLO KE DAMAN KANTO SE BHAR DIYA HAMNE TO USKO APNA REHNUMA BNAYA THAA APNA YE HAATH USKE HAATHO ME THMAAYA THAA KEHTE HAIN WO KABHI HAATH NAHI CHHODTA [...]

Urdu Ghazal: Fursat E Kaar Faqat Chaar Ghadi Hai YaaroN

Fursat E Kaar Faqat Chaar Ghadi Hai YaaroN. Ye Na Socho Ke Abhi Umr Parhi Hai YaaroN. Apne Taareeq Makano Se Bahar Jhanko. Zindagi Shamma Liye Dar Pe Khadi Hai YaroN. Unke Bin Jee Ke Dikha Denge Chalo Yun Hi Sahi. Baat Itni See Hai Ke Zid Aan Parhi Hai YaaroN. Fasla Chand Qadam Ka [...]

Urdu Poetry: Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Bankar

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Bankar. Hum Se Her shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar. Chand Nikla Hai Teri Aankh K Ansoo Ki Tarah Phool Mehke Hain Teri Zulf Ka Saya Bankar. Meri Jaagi Huyi Raaton Ko Usi Ki Hai Talash So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Bankar. Dil Ke Kaghaz Par [...]

Urdu Nazam: Such kahu mujh ko ye unwan bura lagta hai By Manzar Bhopali

Such kahu mujh ko ye anwan bura lagta hai zulm sehta hua insan bura lagta hai kis qadar hogayi masruf ye duniya apni ek din tehre to mehman bura lagta hai un ki khidmat to bahut dur bahu baito ko budhe maa baap ka farman bura lagta hai mere allah meri naslo ko zillat se [...]

Urdu Ghazal: Deewana banana hai to deewana bana de By Behzad Lucknawi

Deewana banana hai to deewana bana de, Warna kahin taqdeer tamasha na bana de. Ae dekhane waalon mujhe hans hans k na dekho, Tum ko bhi Muhabbat kahin mujh sa na bana de. Main dhoond raha hoon meri wo shamma kahan hai, Jo bazm ki har cheez ko parwana bana de! Aakhir koi soorat bhi [...]

Urdu Ghazal: Dil ko sehra keejiye, aankho’n ko dariya keejiye By Noon Meem Rashid

Dil ko sehra keejiye, aankho’n ko dariya keejiye iss tarha bhi ek din apna tamaasha keejiye mauj-e-sarsar ka koi jhonka udaa le jaaega rett ki deewar par kab tak bharosa keejiye ek zara si baat se sheeshe mein aa jaata hai baal baat mein talkhi sahi, uncha na bola keejiye waqt ki reg-e-rawaa’n se naqsh [...]

Urdu Poetry: Yaad kerna her ghari os yaar ka By Wali Dakni

Urdu Poetry: Yaad kerna her ghari os yaar ka By Wali Dakni

Yaad kerna her ghari os yaar ka Hai wazeefa mujh dil-e-bimar ka Aarzo-e-chashma-e-koser nahi Tishna lab hoon sharbat-e-deedar ka Aaqbat kya howey ga? maloom nahi Dil howa hai mubtala deedar ka Kya kahey tareef dil hai be nazeer Herf herf os makhzan-e-israr ka Ger howa hai taalib-e-aazadgi Banda mat ho sitjah-e-zanar ka Meend-e-gul manzil-e-shabnam howi [...]

Urdu Poetry: Khush hoon ki mera husn-e-talab kaam to aaya By Shakeel Bandayuni

Khush hoon ki mera husn-e-talab kaam to aaya khaali hi sahi meri taraf jaam to aaya kaafi hai mere dil ki tasalli ko yahi baat aap aa na sake aap ka paigaam to aaya apno ne nazar pheri to dil ne to diya saath duniyaa mein koi dost mere kaam to aaya wo subah ka [...]

Urdu Poetry: Deewan-e ghazal jis ki Muhabbat main likha tha

Deewan-e ghazal jis ki Muhabbat main likha tha, Wo shakhs kisi aur ki kismat main likhaa thaa. Wo shair kabhi us ki nazar se nahin guzra, Jo doob k jazbaat ki shidat main likha tha. Is duniya main to aise koi aasaar nahin the, Shayad tera milna bhi Qayamat main likha tha! Tu kese badal [...]

Urdu Poetry: Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k liye laal hari chooriyan khareedtay ho?

Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k liye laal hari chooriyan khareedtay ho??? main kehta hon ab kisi ki kalai pe yeh rang acha nahi lagta… Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k anchal ko aakash likhtay ho??? main kehta hon ab kisi kay aanchal main itni wosaat kahan hai… Woh [...]