Archive for urdu shairi
You are browsing the archives of urdu shairi.
You are browsing the archives of urdu shairi.
Dil ki dhadhkan hai,khyaalon mein mere rehta hai. Kaun hai woh, jo swaalon mein mere rehta hai. Jis ka dekha na khwaab us se wafa karta hoon. Dil ke aaine mein main us se mila karta hoon. Main nahin jaanta yeh kis ki aas hai mujh ko. Kis ka armaan iraadon mein mere rehta hai. [...]
UJAALA Meri hamdam,mere khawbo’n ki taabeer muskura de ke mere ghar mein ujaala ho jaae aankh malte hue uth jaae kiran bistar se mere bikhre hue geeto’n mein tera jaadu hai maine meyaar-e-tasavvur se banaaya hai tujhe meri parveen takhiaul meri nasreen nigaah maine taqdees ke phoolo’n se sajaaya hai tujhe doodh ke tarah kanwaari [...]
Tohmatein to lagti hain roshni ki khwahish mein ghar se baahar aane ki kuch saza to milti hai log-log hote hain inn ko kya khabar jaana’n aap ke iraado’n ki khubsoorat aankhon mein basne waale sapno’n ke rang kaise hote hain dil ki god aangan mein palne waali baato’n ke zakhm kaise hote hain kitne [...]
Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k liye laal hari chooriyan khareedtay ho? main kehta hon ab kisi ki kalai pe yeh rang acha nahi lagta. Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k anchal ko aakash likhtay ho? main kehta hon ab kisi kay aanchal main itni wosaat kahan hai.. Woh [...]
Haqeeqat jan kar aisi himaqat kon karta hai ? Bhala be faiz logon se mohabbat kon karta hai ? Batao jis tijarat mein khasara hi khasara ho ……. Bina sochay khasaray ki tijarat kon karta hai ? Hamein hi ghalat fehmi thi,kisi ke wastay warna, Zamanay ke riwajon se baghawat kon karta hai ? Khuda [...]
Duniya Mein Hoon Duniya Ka Talab Gaar Nahin Hoon. Bazaar Se Guzara Hoon Kharidaar Nahi Hoon. Zinda Hoon Magar Zeest Ki Lazzat Nahin Baaqi.. Har Chand Ki Hoon Hosh Mein Hoshiyaar Nahi Hoon. Afsuda Hoon Ibrat Se Dawaa Ki Nahin Haajat. Gham Ka Mujhe Ye Zauf Hai Bimaar Nahin Hoon. Wo Gul Hoon KhizaaN Ne [...]
Aadat hi bana lee hai, is sheher k logon ne, andaaz badal lena aawaaz badal lena dunya ki mohabbat main atwaar badal lena mausam jo naya aaye raftaar badal lena ehbaab badal lena aadat hi bana lee hai is sheher k logon ne rastay main agar milna nazron ko jhuka lena aawaaz agar do to [...]
Tum pareshaa’n na ho baab-e-karam waa na karo aur kuch derr pukaarunga chala jaaunga isee kooche mein jahaan chaand ugaa karte thhey shab-e-tareek guzarunga chala jaaunga raasta bhool gaya ya yahaa’n manzil hai meri koi layaa hai ya khud yahaa’n aaya hoon ye maloom nahi kehte hain nazrein bhi hasee’n hoti hain main bhi kuch [...]
Isee sabab se hain shayad,azaab jitne hain jhatak ke phenk do palko’n pe khwaab jitne hain watan se ishq, gareebi se bair, aman se pyaar sabhi ne odh rakhe hain naqaab jitne hain samajh sake to samajh zindagi ki uljhan ko sawaal utne nahi hain, jawaab jitne hain. Poet: Jaan Nisar Akhtar
Ab mere paas tum aayee ho to kya aayee ho maine maana ki tum ek paikar-e-ranaai ho chaman-e-dehar mein ru-e-chaman aaraai ho talat-e-mehar ho, firdaus ki barnaai ho bint-e-mehtaab ho, gardu’n se utar aayee ho mujhse milne mein ab andesha-e-ruswaai hai maine khud apne kiye ki ye sazaa paaee hai khaak mein aah milaaee hai [...]