Archive for urdu shairo shairy
You are browsing the archives of urdu shairo shairy.
You are browsing the archives of urdu shairo shairy.
Duniya Mein Hoon Duniya Ka Talab Gaar Nahin Hoon. Bazaar Se Guzara Hoon Kharidaar Nahi Hoon. Zinda Hoon Magar Zeest Ki Lazzat Nahin Baaqi.. Har Chand Ki Hoon Hosh Mein Hoshiyaar Nahi Hoon. Afsuda Hoon Ibrat Se Dawaa Ki Nahin Haajat. Gham Ka Mujhe Ye Zauf Hai Bimaar Nahin Hoon. Wo Gul Hoon KhizaaN Ne [...]
Huyi Hai Sham To Ankhon Mein Bas Gaya phir Tu. Kahan Gaya Hai Mere Shahar K Musafir Tu. Bahot Udas Hai Ik Shakhs Tere Jane Se. Jo Ho Sake To Chala Aa Usi Ki Khatir Tu. Meri Misaal Ki Ik Nakhl-E-Khushq-E-Sahra Hoon. Tera Khayal ke Shakh-E-Chaman Ka Taa’ir Tu. Main Janta Hoon Ke Duniya Tujhe [...]
Tumhare Shaher Ka Mausam Suhaana Lage. Main Ek Shaam Chura LouN Agar Bura Na Lage. Tumhare Bas Mein Agar Ho To Bhool Jaao Humein. Tumhein Boolaane Mein Shayad Mujhe Zamaana Lage. Humare Ikhlaaq Se Jalne Lagi Hai Ye Ãuniya. Ãua Karo Kisi Dushman Ki Bad-Dua Na Lage. Jo Dubna Hai To Itne Sukoon Se Dobo. [...]
Ab wakt-e-judai hai mujhay ab alwida kah do Ab phir wo tanhai hai mujhay ab alwaida kah do Main lakh bura tahra hon yaron ki nazar may Dil roo to raha hay magar aab alwida kah do Meray AANSOO to meray hain meri khushian tumhari hain Mobarak tum ko yea khushian mujhay aab alwida kah [...]
Intezar-e saba raha barson, Ik dareecha khula raha barson. Aik din unka pyar barsa tha, Aur main bheegta raha barson. Un ki aankhon k jaam yaad rahe, Bin piye bhi nasha raha barson. Tab kahin ja k ik ghazal likhi, Main usay sochta raha barson. Faasle kam na ho sake Mohsin’ Aamna saamna raha barson.. [...]
Dil meiN ehsaas-e- gham-e-yaar tha kuchh aur na tha Apne jazbaat ka izhaar tha kuchh aur na tha Karb ki raat thi beKhaab, magar saath mere Ek hujoom-e-Gam-o-afkaar tha kuchh aur na tha Asr-e-haazir ke taqaazoN ka koi zikr na tha Qissa-e-paayal-o-jhankaar tha kuchh aur na tha Paarsaayee ki sanad sab ki jabeeN par thi, [...]
Dil Mein Jo Kuch Hai Abhi Uski Pazeerayi Nahin. Khushboo-E-Kali Hoon Par Khilne Ki Ghadi Aayi Nahin. [Pazeerayi = Acceptance] An-kahee Baat Ke Sau Roop, Kahee Baat Ka Ek. Kabhi sun Wo Bhi Jo Minnat-e-Kahs-e-Goyaayi Nahin. [Goyaayi = Power of Speech] Meri Nazron Mein Hai Khilte Huye Phoolon Ki Tarah. Wo Namee Jo, Abhi Shaakhon [...]
Izn-e-khiraam lete hue aasmaa’n se hum hatkar chale hain rehguzar-e-kaarvaa’n se hum kyo’nkar hua hai faash zamaane pe kya kahein wo raaz-e-dil jo keh na sake raazdaa’n se hum humdam yahi hai rehguzar-e-yaar-e-khushkhiraam guzre hain laakh baar isee kehkashaa’n se hum kya-kya hua hai hum se junoo’n mein na poochhiye uljhe kabhi zamee’n se kabhi [...]
Ab to mumkin hi nahe un sai mulaaqaat “WASI” Ab to urooj pai pounche hai uski zaat “WASI” Wohi waday hain or rasmoo ki zanjeerai baqi Kab badalti hai zamanay ki riwayat “WASI” Ek woh din ty kay ek dousray ko souchtay thy hum Ab miltay nahe dono kay khayalaat “WASI” Meri her subha ka [...]
Main jahaa’n tum ko bulaata hoon wahaa’n tak aao meri nazaro’n se guzar kar dil-o-jaan tak aao phir ye dekho ki zamaane ki hawa hai kaisi saath mere, mere firdaus-e-jawaa’n tak aao teg ki tarah chalo chhod ke aagosh-e-niyaam teer ki tarah se aagosh-e-kamaa’n tak aao phool ke gird phiro baag mein maanind-e-naseem misl-e-parvaana kisi [...]