Archive for urdu shairo shairy
You are browsing the archives of urdu shairo shairy.
You are browsing the archives of urdu shairo shairy.
Sitam hawa ka agar tere tan ko raas nahi’n kahaan se laau’n wo jhonka jo mere paas nahi’n pighal chuka hoon tamaazat mein aaftaab ki main mera wajood bhi ab mere aas-paas nahi’n mere naseeb mein kab thi barhanagi apani mili wo mujh ko tamanna ki be-libaas nahi’n kidhar se utre kahaan aa ke tujh [...]
Kitni pee kaise kati raat mujhe hosh nahi’n raat ke saath gayee baat mujhe hosh nahi’n mujh ko ye bhi nahi’n maalum ki jaana hai kahaa’n thaam le koi mera haath mujhe hosh nahi’n aansuo’n aur sharaabo’n mein guzar hai ab to maine kab dekhi thi barsaat mujhe hosh nahi’n jaane kyaa toota hai paimaana [...]
aqaayad vaham hai mazahab Khayaal-e-Khaam hai saaqii azal se zahan-e-i.nsaa.N bast-e-auhaam hai saaqii haqiiqat-aashanaa_ii asl me.n gum-kardah-raahii hai uruus-e-aagahii paravardah-e-abahaam hai saaqii mubaarak ho za_iifii ko Khirad kii falsafaadaanii javaanii beniyaaz-e-ibrat-e-a.njaam hai saaqii abhii tak raaste ke pech-o-Kham se dil dha.Dakataa hai meraa zauq-e-talab shaayad abhii tak Khaam hai saaqii vahaa.N bhejaa gayaa huu.N chaak [...]
Khud apane liye baiTh ke soche.nge kisii din yuu.N hai ki tujhe bhuul ke dekhe.nge kisii din bhaTake hue phirate hai.n ka_ii lafz jo dil me.n duniyaa ne diyaa vaqt to likkhe.nge kisii din hil jaaye.nge ik baar to arsho.n ke dar-o-baam ye Khaak_nashii.n log jo bole.nge kisii din aapas kii kisii baat kaa milataa [...]
husn jab mehr’baaN ho to kyaa keejiye ishq kii maGfirat kii du’aa keejiye is saliiqe se unse gilaa keejiye jab gilaa keejiye haNs diyaa keejiye duusroN par agar tabsiraa keejiye saamne aaiinaa rakh liyaa keejiye ap sukh se haiN tark-e-talluq ke baad itnii jaldii na ye faislaa keejiye ko’ii dhokhaa na khaa jaaye merii tarah [...]
shaiKh saahab se rasm-o-raah na kii shukr hai zindagii tabaah na kii tujh ko dekhaa to ser-e-chashm hue tujh ko chaahaa to aur chaah na kii tere dast-e-sitam kaa ajz nahii.n dil hii kaafir thaa jis ne aah na kii the shab-e-hijr kaam aur bahut ham ne fikr-e-dil-e-tabaah na kii kaun qaatil bachaa hai shahar [...]
Meri daastan-e hasrat, wo suna suna k roye, Mujhe aazmane waale, mujhe aazma k roye. Koi aisa ahl-e Dil ho k fasana-e Muhabbat, Main usay suna k royoon,wo mujhe suna k roye. Meri aarzoo k duniya,dil-e naatwaan’ ki hasrat, Jisay kho k shaadmaan’ thay,usay aaj pa k roye. Teri be-wafaaiyon per,teri kaj-adaaiyon per, Kabhi sar [...]