Archive for urdu shairy
You are browsing the archives of urdu shairy.
You are browsing the archives of urdu shairy.
Badalate Waqt kaa ik sil_silaa saa lagataa hai ke jab bhii dekho use duusaraa-saa lagataa hai tumhaaraa husn kisii aadamii kaa husn nahi. kisii buzurg kii sachchii duaa saa lagataa hai terii nigaah ko tamiiz rang-o-noor kahaan mujhe to Khoon bhii rang-e-hinaa saa lagataa hai damaaG-o-dil hun agar mutma_ii.n to chhaao.n hai dhoop thapea loo [...]
IK DEEPAK AAS KA HAMNE BHI JALYAA THAA KHUDA KE AAGE DUA KA HATH FAILAYA THAA USNE BHI SUN KE ANSUNA SAA KER DIYA OR BJAYE PHOOLO KE DAMAN KANTO SE BHAR DIYA HAMNE TO USKO APNA REHNUMA BNAYA THAA APNA YE HAATH USKE HAATHO ME THMAAYA THAA KEHTE HAIN WO KABHI HAATH NAHI CHHODTA [...]
Aaj Halki Halki Si Barish Hai Aaj Sard Hawa ka Raqs Bhi Hai Aaj phool bhi nikhray nikhray hain Aaj un main tumhara aks bhi hai Aaj baadal kaalay gehray hain Aaj chand pay laakhon pehray hain kuch tukray tumhari yadon kay Bari dair say dil main thehray hain Aaj yaadain uljhi uljhi hain Aaj [...]
Taaqo mein sajaya jaata hoon, aakhon se lagaaya jaata hoon taweez banaya jaata hoon, dho dho ke pilaaya jaata hoon juzdaan hareer-o-resham ke aur phool sitaare chaandi ke phir itr ki baarish hoti hai, khusbu mein basaaya jaata hoon jiss tarha se tota maina ko kuchh bol sikhaaye jaate hain iss tarah parhaaya jaata hoon, [...]
Dard badhkar fugaa’n na ho jaaye ye zamee’n aasmaa’n na ho jaaye dil mein dooba hua jo nashtar hai mere dil ki zubaa’n na ho jaaye dil ko le leejiye jo lena hai phir ye sauda giraa’n na ho jaaye aah keeje magar lateef-tareen lab tak aakar dhuaa’n na ho jaaye. Poet: Jigar Moradabadi
Lab Pe Pabandi Nahin, Ehsaas Pe Pahera To Hai. Phir Bhi Ahl-E Dil Ko Ahwaal-E Bashar Kahena To Hai. Apni Gairat Bech Dalein, Apna Maslaq (aitebar) Chhod Dein. Rahnuma’on Mein Bhi Kuch Logon Ko Ye Mansha To Hai. Hai Jinhein Sabse Zyada Daawa-E Hubb-E Watan. (Hubb-E Watan = Apne Mulq Se Mohabbat) Aaj Unhi Ki [...]
Har Gosha Gulistaan Tha Kal Raat Jahan Main Tha. Ek Jashn-E BahaaraN Tha Kal Raat Jahan Main Tha. Naghame The Hawaon Mein Jadoo Tha Fazaon Mein. Har Saans GazalfaaN Tha Kal Raat Jahan Main Tha. Dareeya-E Mahobbat Mein Qashti Thi Jawaani Ki. Jazbaat Ka Tufaan Tha Kal Raat Jahan Main Tha. Maahtaab Tha Bahon Mein [...]
Ab tum aagosh-e-tasavvur mein bhi aaya na karo mujhse bikhre hue gesu nahi’n dekhe jaate surkh aankho’n ki qasam kaanpti palako’n ki qasam thar-tharaate hue aansu nahi’n dekhe jaate ab tum aagosh-e-tasavvur mein bhi aaya na karo chhoot jaane do jo daaman-e-wafa chhoot gaya kyun ye lagzeeda kharaami ye pashemaa’n nazri tumne toda nahi’n rishta-e-dil [...]
Yaad kerna her ghari os yaar ka Hai wazeefa mujh dil-e-bimar ka Aarzo-e-chashma-e-koser nahi Tishna lab hoon sharbat-e-deedar ka Aaqbat kya howey ga? maloom nahi Dil howa hai mubtala deedar ka Kya kahey tareef dil hai be nazeer Herf herf os makhzan-e-israr ka Ger howa hai taalib-e-aazadgi Banda mat ho sitjah-e-zanar ka Meend-e-gul manzil-e-shabnam howi [...]
Khush hoon ki mera husn-e-talab kaam to aaya khaali hi sahi meri taraf jaam to aaya kaafi hai mere dil ki tasalli ko yahi baat aap aa na sake aap ka paigaam to aaya apno ne nazar pheri to dil ne to diya saath duniyaa mein koi dost mere kaam to aaya wo subah ka [...]