Archive for urdu shairy
You are browsing the archives of urdu shairy.
You are browsing the archives of urdu shairy.
Tum pareshaa’n na ho baab-e-karam waa na karo aur kuch derr pukaarunga chala jaaunga isee kooche mein jahaan chaand ugaa karte thhey shab-e-tareek guzarunga chala jaaunga raasta bhool gaya ya yahaa’n manzil hai meri koi layaa hai ya khud yahaa’n aaya hoon ye maloom nahi kehte hain nazrein bhi hasee’n hoti hain main bhi kuch [...]
Mohabbat Mujhe Thi Usse Itni Sanam, Yaadon Mein Dil Tadapta Raha, Maut Bhi Meri Chahat Ko Rok Na Saki, Kabar Mein Bhi Dil Dhad-kta Raha. Mere Is Virane Dil Meiin Chahat Ka Phool Hai Khila, Mere Nashib Se Mujhe Aapka Pyaar Mila. Koi Sham Aati Hai Tumhari Yaad Lekar, Koi Sham Jati Hai Tumhari Yaad [...]
Vo he gardishain vo he paich-o-kham teray baad bhi Vo he hauslay meray dam ba-dam teray baad bhi Teray saath bhi teri her jafa mujhay moetabar Teray saaray gham mujhay muhtaram teray baad bhi Teray gham se hai meri her khushi mein waqaar sa Meray haal pe hain teray karam teray baad bhi Baray muztarib [...]
Zeest aazaar huee jaati hai saans talwaar huee jaati hai jism bekaar hua jaata hai rooh bedaar huee jaati hai kaan se dil mein utarti nahi’n baat aur guftaar huee jaati hai dhal ke nikli hai haqeeqat jab se kuch pur-asraar huee jaati hai ab to har zakhm ki munhband kali lab-e-izhaar huee jaati hai [...]
Ab mere paas tum aayee ho to kya aayee ho maine maana ki tum ek paikar-e-ranaai ho chaman-e-dehar mein ru-e-chaman aaraai ho talat-e-mehar ho, firdaus ki barnaai ho bint-e-mehtaab ho, gardu’n se utar aayee ho mujhse milne mein ab andesha-e-ruswaai hai maine khud apne kiye ki ye sazaa paaee hai khaak mein aah milaaee hai [...]
Thokar lagi to apne muqaddar pe ja gira, Phir yun huaa k aaieena pathar pe ja gira. Ehsaas-e farz jab bhi huaa neend aa gayee, Chalna tha pul-saraat pe, bistar pe ja gira. Baazi Muhabbaton ki jahaalat ne jeet lee, Wo ban gata khateeb jo Mimber pe ja gira. Khushboo qasoor-waar nahi, is ko chhor [...]
Paao’n choo lene do phoolo’n ko inaayat hogi warna hum ko bhi nahi’n inko bhi shikaayat hogi aap jo phool bichaaye unhe hum thukraayein humko darr hai ke ye tauheen-e-mohabbat hogi dil ki bechain umango pe karam farmaao itna ruk-ruk ke chaloge to qayaamat hogi sharm roke hai idhar, shauq udhar kheeche hai kya khabar [...]