Archive for urdu shayari

You are browsing the archives of urdu shayari.

Urdu Ghazal: Tohmat-e-chandd apne zimma dher chaley By Khawaja Meer Dard

Urdu Ghazal: Tohmat-e-chandd apne zimma dher chaley By Khawaja Meer Dard

Tohmat-e-chandd apne zimma dher chaley Jis liye aye thy ham so kar chaley Zindagi hai ya koi tofaan hai Ham to is jeeney ke hathoon mar chaley Kya hamein kaam un gulo’on se aey saba Aik dam aye idher, o odher chaley Dosto dekha tamasha yaan ka bass Tum raho, ab, ham to apne gher [...]

Urdu Poetry: Badalate Waqt kaa ik sil_silaa saa lagataa hai

Badalate Waqt kaa ik sil_silaa saa lagataa hai ke jab bhii dekho use duusaraa-saa lagataa hai tumhaaraa husn kisii aadamii kaa husn nahi. kisii buzurg kii sachchii duaa saa lagataa hai terii nigaah ko tamiiz rang-o-noor kahaan mujhe to Khoon bhii rang-e-hinaa saa lagataa hai damaaG-o-dil hun agar mutma_ii.n to chhaao.n hai dhoop thapea loo [...]

Urdu Poetry: Shaayad Aa Jayega Saaqi Ko Taras Ab Ke Baras

Shaayad Aa Jayega Saaqi Ko Taras Ab Ke Baras. Mil Na Paya Hai Un Aankhon Ka Bhi Ras Ab Ke Baras. Aisi Chhayi Thi Kahan Gham Ki Ghatayein Pahele. Haan Mere Deedar-E Tar Khoob Baras, Ab Ke Baras. Uff Wo Un Mad Bhari Aankhon Ke Chhalakte Huye Jaam. Badh Gayi Aur Bhi Peene Ki Lalak [...]

Urdu Poem: Aaj yaad bohut tum ayay ho

Aaj Halki Halki Si Barish Hai Aaj Sard Hawa ka Raqs Bhi Hai Aaj phool bhi nikhray nikhray hain Aaj un main tumhara aks bhi hai Aaj baadal kaalay gehray hain Aaj chand pay laakhon pehray hain kuch tukray tumhari yadon kay Bari dair say dil main thehray hain Aaj yaadain uljhi uljhi hain Aaj [...]

Urdu Poetry: Chalo ye ishq nahi chaahne ki aadat hai

Chalo ye ishq nahi chaahne ki aadat hai to kya karein hame ek doosre ki aadat hai tera naseeb hai ae dil sada ki mehroomi na wo sakhi na tujhe maangne ki aadat hai tu apni sheesha-gari ka na kar hunar zyaada main aaeena hoon, mujhe tootne ki aadat hai visaal mein bhi wohi ratjage [...]

Urdu Poetry: Taaqo mein sajaya jaata hoon, aakhon se lagaaya jaata hoon

Taaqo mein sajaya jaata hoon, aakhon se lagaaya jaata hoon taweez banaya jaata hoon, dho dho ke pilaaya jaata hoon juzdaan hareer-o-resham ke aur phool sitaare chaandi ke phir itr ki baarish hoti hai, khusbu mein basaaya jaata hoon jiss tarha se tota maina ko kuchh bol sikhaaye jaate hain iss tarah parhaaya jaata hoon, [...]

Urdu Poetry: Dard badhkar fugaa’n na ho jaaye By Jigar Moradabadi Sung By Chitra Singh

Dard badhkar fugaa’n na ho jaaye ye zamee’n aasmaa’n na ho jaaye dil mein dooba hua jo nashtar hai mere dil ki zubaa’n na ho jaaye dil ko le leejiye jo lena hai phir ye sauda giraa’n na ho jaaye aah keeje magar lateef-tareen lab tak aakar dhuaa’n na ho jaaye. Poet: Jigar Moradabadi

Urdu Ghazal: Jaagti raat k honton pe fasaane jese

Jaagti raat k honton pe fasaane jese, Aik pal main simat aaye hon zamaane jese. Aqal kehti hai bhula do jo nahin mil paaya! Dil wo pagal k koi baat na maane jese. Raaste main wohi manzar hain puraane ab tak, Bas kami hai to nahin log puraane jese.! Aaieena dekh k ehsaan yahi hota [...]

Urdu Poetry: Har Gosha Gulistaan Tha Kal Raat Jahan Main Tha

Har Gosha Gulistaan Tha Kal Raat Jahan Main Tha. Ek Jashn-E BahaaraN Tha Kal Raat Jahan Main Tha. Naghame The Hawaon Mein Jadoo Tha Fazaon Mein. Har Saans GazalfaaN Tha Kal Raat Jahan Main Tha. Dareeya-E Mahobbat Mein Qashti Thi Jawaani Ki. Jazbaat Ka Tufaan Tha Kal Raat Jahan Main Tha. Maahtaab Tha Bahon Mein [...]

Urdu Poetry: Yaad kerna her ghari os yaar ka By Wali Dakni

Urdu Poetry: Yaad kerna her ghari os yaar ka By Wali Dakni

Yaad kerna her ghari os yaar ka Hai wazeefa mujh dil-e-bimar ka Aarzo-e-chashma-e-koser nahi Tishna lab hoon sharbat-e-deedar ka Aaqbat kya howey ga? maloom nahi Dil howa hai mubtala deedar ka Kya kahey tareef dil hai be nazeer Herf herf os makhzan-e-israr ka Ger howa hai taalib-e-aazadgi Banda mat ho sitjah-e-zanar ka Meend-e-gul manzil-e-shabnam howi [...]