Archive for urdu shayari
You are browsing the archives of urdu shayari.
You are browsing the archives of urdu shayari.
Ab mere paas tum aayee ho to kya aayee ho maine maana ki tum ek paikar-e-ranaai ho chaman-e-dehar mein ru-e-chaman aaraai ho talat-e-mehar ho, firdaus ki barnaai ho bint-e-mehtaab ho, gardu’n se utar aayee ho mujhse milne mein ab andesha-e-ruswaai hai maine khud apne kiye ki ye sazaa paaee hai khaak mein aah milaaee hai [...]
Ek ju-e-dard dil se jigar tak ravaa’n hai aaj pighla hua rago’n mein ek aatish-fishaa’n hai aaj lab see diye hain taa na shikaayat kare koi lekin har ek zakhm ke munh mein zabaa’n hai aaj taareekiyo’n ne gher liya hai hayaat ko lekin kisi ka ru-e-hasee’n darmiyaa’n hai aaj jeene ka waqt hai yahi, [...]
Dil behlaane ki nahi koi sabeel january ki sard raatein hain taveel daalta hoon apne maazi par nigaah gaahe-gaahe kheenchta hoon sard aah kis tarah ab dil ko raah par laoo’n main kis bahaane se usse bhulaaoo’n main sab ko mahv-e-khawab raat chhod ke neend aati hai mere shabistaan mein mere mujh ko sote dekh [...]
Thokar lagi to apne muqaddar pe ja gira, Phir yun huaa k aaieena pathar pe ja gira. Ehsaas-e farz jab bhi huaa neend aa gayee, Chalna tha pul-saraat pe, bistar pe ja gira. Baazi Muhabbaton ki jahaalat ne jeet lee, Wo ban gata khateeb jo Mimber pe ja gira. Khushboo qasoor-waar nahi, is ko chhor [...]
Paao’n choo lene do phoolo’n ko inaayat hogi warna hum ko bhi nahi’n inko bhi shikaayat hogi aap jo phool bichaaye unhe hum thukraayein humko darr hai ke ye tauheen-e-mohabbat hogi dil ki bechain umango pe karam farmaao itna ruk-ruk ke chaloge to qayaamat hogi sharm roke hai idhar, shauq udhar kheeche hai kya khabar [...]
Misl-e-khayaal aaye thhey aakar chale gaye duniya hamaari gham ki basa kar chale gaye phoolo’n ki aas dil se lagaaye hue thhey hum kaante wo raaste mein bichha kar chale gaye aayee na thi hamaare chaman mein bahaar abhi wo khwaab aashiyaa’n mein laga kar chale gaye bhoole se bhi kabhi na dil hum bhula [...]
Raat bhar deeda-e-namnaak mein lehraate rahe saans ki tarah se aap aate rahe, jaate rahe khush thhey hum apni tamannaao’n ka khwaab aayega apna aramaan bar-afganda naqaab aayega nazarein neechi kiye sharmaaye hue aayega kaakulein chehre pe bikharaaye hue aayega aa gaee thi dil-e-muztar mein shakebaai si baj rahi thi mere gham-khaane mein shehnaai si [...]