Urdu Ghazal: Arzo sama kahan teri wos’at ko pa sake By Khawaja Meer Dard
Arzo sama kahan teri wos’at ko pa sake
Mera hi dil hai wo ke jahan tu sama sake
Wahdat mein teri, harf doii ka na aa sakey
Aaina kya majaal tujhe monh dekha sakey
Main wo fatadah hoon ke baghair az fana mujhe
Naqsh-e-qadam ki tarah na koi utha sakey
Qasid! nahi ye kaam tere apni rah ly
Os ka pyaam dil ke siwa kon laa sakey






