Urdu Ghazal: Deewana banana hai to deewana bana de By Behzad Lucknawi



Deewana banana hai to deewana bana de,
Warna kahin taqdeer tamasha na bana de.

Ae dekhane waalon mujhe hans hans k na dekho,
Tum ko bhi Muhabbat kahin mujh sa na bana de.

Main dhoond raha hoon meri wo shamma kahan hai,
Jo bazm ki har cheez ko parwana bana de!

Aakhir koi soorat bhi to ho khaanaa-e dil ki,
Kaaba nahin banta hai to but-khana bana de.

Behzad’ her ik jaam pe ik sajdaa-e masti,
Her zarre ko sang-e dar-e jananaa bana de

Poet: Behzad Lucknawi



About the Author

Leave a Reply