Urdu Ghazal: Ham tujh se kis hawass ki falak justojoo karein By Khawaja Meer Dard
Ham tujh se kis hawass ki falak justojoo karein
Dil hi nahi raha hai jo kuch aarzoo karein
Mit jayin aik aan mein kasrat nomaiya’an
Ham ainey ke samne jab aa ke hoo karein
Ter damni pe sheikh hamari na jaeyoo
Daman nichoor dein to farishtey wazoo karein
Ser ta qadam zubaan hain joon shamma go ke ham
Per ye kaha’an majaal ke kuch guftagoo karein






