Urdu Ghazal: Kiya mujh ishq ko’on zalim ne aab ahista ahista By Wali Dakni
Kiya mujh ishq ko’on zalim ne aab ahista ahista
Ke aatish-e-gul ko’on kerti hai gulaab, ahista ahista
Wafadari ne dilber ki bujhaya aatish-e-gham ko’on
Ke germi dafa karta hai ghulaab ahista ahista
Ajab kuch lutf rakhta hai shab-e-khilwat mein gul roso’on
Khitaab ahista ahista, jawaab ahista ahista
Mere dil ko’on kiya be khud teri ankhyaan ne akhir kion
Ke Jeo’on be hoosh kerti hai sharaab ahista ahista






