Urdu Ghazal: Patta patta boota boota haal hamara jaane hai By Meer Taqi Meer
Patta patta boota boota haal hamara jaane hai
jaane na jaane gul hi na jaane baagh to sara jaane hai
Chara gari bimari-e-dil ki rasm-e-shehr-e-husan nahi
Warna dilber nada’an bhi is dard ka chara jaane hai
Aashiq sa to sada koi aur na hoga dunia mein
Jee ke ziya’an ko ishq mein us ke apna dara jaane hai






