Urdu Ghazal: Tujhi ko jo yaan jalwa farma na dekha By Khawaja Meer Dard
Tujhi ko jo yaan jalwa farma na dekha
Barabar hai dunia ko dekha na dekha
Mera ghuncha-e-dil hai wo dil garifta
Ke jis ko kiso ne kabho waa na dekha
Yagana hai tu aah! bega’ngi mein
Koi dosra aur aisaa na dekha
Azi’yat, mosibat, malamat, balayin
Tere ishq mein ham ne kya kya na dekha







Nicce pic