Urdu Nazam: Such kahu mujh ko ye unwan bura lagta hai By Manzar Bhopali



Such kahu mujh ko ye anwan bura lagta hai
zulm sehta hua insan bura lagta hai
kis qadar hogayi masruf ye duniya apni
ek din tehre to mehman bura lagta hai
un ki khidmat to bahut dur bahu baito ko
budhe maa baap ka farman bura lagta hai

mere allah meri naslo ko zillat se nikal
haath pehlaye musalman bura lagta hai

guzur chuka hai zamana wo inkisari ka
ke ab mizaj banalijiye shikari ka
hum ahterame mohabbat main sar jhukate hai
galat nikal na mafhum khakshari ka
wo badshah bana baithe hai muqaddar se
magar mijaz hai ab tak wahi bhikari ka

Poet: Manzar Bhopali



About the Author

Leave a Reply