Urdu Nazam: Usi Dillagi Kehkahay Shadmani
Usi Dillagi Kehkahay Shadmani
hamesha hasino se aankhain larani
sada kamiyabi sada kamrani
buht yaad aati hain batain purani
or phir wo din rat qoo-e-nigaraan kay pheray
woh kamray firozan woh zeenay andhairay
woh zulfon kay halkay woh bahon kay phairay
wahin mudaton ja kay ratain bitani
buht yad aati hain batain purani
woh sardi ki ratain woh jaday ka joban
lihafon main kamsin dilon ki woh dharkan
chudana woh bataon se har bar daman
woh aangan mai mehki hoi raat naami
buht yad aati hain batain purani
kasti chali jaey jaisay kawani
buht yad aati hain batain purani
saji khilwaton main kabhi shughl-e-mina
woh mehbooba-e-khush’ada-khush’karina
kabhi us kay haathon se zid kar kay pina,
kabhi apnay haaton se us ko pilani
buht yad aati hain batain purani.
per ab na woh dil na woh dil ki nadaniyan hain
na woh gham na woh bazm-e-samaniyan hain
na woh doston ki bulafshaniyan hain
na woh fikr-e-rangeen ki jolabiyan hain
gai sher goei rahi nooha khani
woh beeti jawani woh beeti jawani..






Zaberdast