Urdu Poem: Aaj yaad bohut tum ayay ho
Aaj Halki Halki Si Barish Hai
Aaj Sard Hawa ka Raqs Bhi Hai
Aaj phool bhi nikhray nikhray hain
Aaj un main tumhara aks bhi hai
Aaj baadal kaalay gehray hain
Aaj chand pay laakhon pehray hain
kuch tukray tumhari yadon kay
Bari dair say dil main thehray hain
Aaj yaadain uljhi uljhi hain
Aaj taar yeh sub suljhay hain
Aaj yaad bohut tum ayay ho
Aaj yaad bohut tum ayay ho..!!





