Urdu Poetry: Aap ki yaad aati rahi raat bhar By Makhdoom Mohiuddin
Aap ki yaad aati rahi raat bhar
chashm-e-nam muskuraati rahi raat bhar
raat bhar dard ki shamma jalti rahii
gham ki lau thartharaati rahi raat bhar
baansuri ki sureeli suhaani sada
yaad ban-ban ke aati rahi raat bhar
yaad ke chaand dil mein utarte rahe
chaandni jagmagaati rahi raat bhar
koi deewaana galiyo’n mein phirta raha
koi aawaaz aati rahi raat bhar.
Poet: Makhdoom Mohiuddin





