Urdu Poetry: Aapko Dekh Kar Dekhta Rah Gaya Sung By Jagjit Singh
Aapko Dekh Kar Dekhta Rah Gaya.
Kya Kahoon Aur Kahene Ko Kya Rah Gaya.
Unki Aankhon Se Kaise Chhalakne Laga.
Mere Hontho Pe Jo Maajra Rah Gaya.
Wo Mere Saamne Hi Gaya Aur Main.
Raste Ki Tarah Dekhta Rah Gaya.
Aise Bichde Sabhi Raat Ke Mod Par.
Aakhri Hum-Safar, Raasta Rah Gaya.





