Urdu Poetry: Ab mere paas tum aayee ho to kya aayee ho By Majaz Lakhnawi
Ab mere paas tum aayee ho to kya aayee ho
maine maana ki tum ek paikar-e-ranaai ho
chaman-e-dehar mein ru-e-chaman aaraai ho
talat-e-mehar ho, firdaus ki barnaai ho
bint-e-mehtaab ho, gardu’n se utar aayee ho
mujhse milne mein ab andesha-e-ruswaai hai
maine khud apne kiye ki ye sazaa paaee hai
khaak mein aah milaaee hai jawaani maine
shola-zaaro’n mein jalaai hai jawaani maine
shehar-e-khoobaa’n mein ganwaai hai jawaani maine
khwaab-gaaho’n mein ganwaai hai jawaani maine
husn ne jab bhi inaayat ki nazar daali hai
mere paimaan-e-mohabbat ne sipar daali hai
unn dino’n mujh pe qayaamat ka junoo’n taari tha
sar pe sarshari-o-ishrat ka junoo’n taari tha
maah-paaro’n se mohabbat ka junoo’n taari tha
sheharyaaro’n se raqaabat ka junoo’n taari tha
ek bistar-e-makhmal-o-sanjaab thi duniya meri
ek rangeen-o-hansi khwaab thi duniya meri
kya sunogi meri majrooh jawaani ki pukaar
meri fariyaad-e-jigardoz mera naala-e-zaar
shiddat-e-qarb mein doobi huee meri guftaar
main ke khud apne mazaak-e-tarab aagee’n ka shikaar
wo gudaaz-e-dil-e-marhoom kahaan se laau’n
ab main wo jazba-e-masoom kahaan se laau’n.
Poet: Majaz Lakhnawi