Urdu Poetry: Badalate Waqt kaa ik sil_silaa saa lagataa hai
Badalate Waqt kaa ik sil_silaa saa lagataa hai
ke jab bhii dekho use duusaraa-saa lagataa hai
tumhaaraa husn kisii aadamii kaa husn nahi.
kisii buzurg kii sachchii duaa saa lagataa hai
terii nigaah ko tamiiz rang-o-noor kahaan
mujhe to Khoon bhii rang-e-hinaa saa lagataa hai
damaaG-o-dil hun agar mutma_ii.n to chhaao.n hai dhoop
thapea loo kaa bhii ThanDii havaa saa lagataa hai
vo chhat pe aa gayaa betaab ho ke aaKhir
Khudaa bhii aaj shariik-e-duaa saa lagataa hai
tumhaaraa haath jo aayaa hai haath me mere
ab aitabaar kaa mausam haraa-saa lagataa hai
nikal ke dekho kabhii nafaraton ke pinjare se
tamaam shahar kaa “Manzar” khulaa saa lagataa hai.





