Urdu Poetry: Dard badhkar fugaa’n na ho jaaye By Jigar Moradabadi Sung By Chitra Singh
Dard badhkar fugaa’n na ho jaaye
ye zamee’n aasmaa’n na ho jaaye
dil mein dooba hua jo nashtar hai
mere dil ki zubaa’n na ho jaaye
dil ko le leejiye jo lena hai
phir ye sauda giraa’n na ho jaaye
aah keeje magar lateef-tareen
lab tak aakar dhuaa’n na ho jaaye.
Poet: Jigar Moradabadi





