Urdu Poetry: Dasht-e-tanhai mein aye jaan-e-jahan larzaan hain



Dasht-e-tanhai mein aye jaan-e-jahan larzaan hain
teri awaaz ke saaye tere honthon ke saraab
dasht-e-tanhai mein doori ke khas-o-khaak tale
khil rahe hain tere pahalu ke saman aur gulaab

Uth rahi hai kahin qurbat se teri saans ki aanch
apni khushboo mein sulagti hui maddham maddham
door ufaq par chamakati hui qatra qatra
gir rahi hai teri dildaar nazar ki shabnam

Us qadar pyaar se aye jaan-e-jahan rakha hai
dil ke rukhsaar pe is waqt teri yaad ne haath
yun guman hota hai garche hai abhi subah-e-firaaq
dhal gaya hijr ka din aa bhi gayi vasl ki raat.

Dash-e tanhai main……..

[Faiz Ahmad Faiz]

Sent By: Junaid Shabir from Orkut



About the Author

Leave a Reply