Urdu Poetry: Ek ju-e-dard dil se jigar tak ravaa’n hai aaj By Ali Sardar Jafry
Ek ju-e-dard dil se jigar tak ravaa’n hai aaj
pighla hua rago’n mein ek aatish-fishaa’n hai aaj
lab see diye hain taa na shikaayat kare koi
lekin har ek zakhm ke munh mein zabaa’n hai aaj
taareekiyo’n ne gher liya hai hayaat ko
lekin kisi ka ru-e-hasee’n darmiyaa’n hai aaj
jeene ka waqt hai yahi, marne ka waqt hai
dil apni zindagi se bahot shaadmaa’n hai aaj
ho jaata hoon shaheed har ahl-e-wafa ke saath
har daastaan-e-shauq meri daastaa’n hai aaj
aaye hain kis nishaat se hum qatl-gaah mein
zakhmo’n se dil hai choor nazar gul-fishaa’n hai aaj
zindaaniyo’n ne todd diya zulm ka guroor
wo dab-daba wo raub-e-huqoomat kahaa’n hai aaj
Poet: Ali Sardar Jafri





