Urdu Poetry: Firaaq se Bhi Gaye Hum Wisaal Se Bhi Gaye
Firaaq se Bhi Gaye Hum Wisaal Se Bhi Gaye.
Subuk Huye Hain To Aish-E-Malaal Se Bhi Gaye.
Jo But-Kade Mein The Wo Sahibaan-E-Kashf-O-Kamaal.
Haram Mein Aaye To Kashf-O-kamaal se Bhi Gaye.
Usi Nigaah ki Narmi Se Dagmagaa Gaye Qadam.
Usi Nigaah ke Tever Se Ladkhada Bhi Gaye.
Gham-E-Hayaat O Gham-e-Dost ki Kashmokhas mein.
Hum Jaise Log To Ranj-O-Malaal Se Bhi Gaye





