Urdu Poetry: Har Gosha Gulistaan Tha Kal Raat Jahan Main Tha



Har Gosha Gulistaan Tha Kal Raat Jahan Main Tha.
Ek Jashn-E BahaaraN Tha Kal Raat Jahan Main Tha.

Naghame The Hawaon Mein Jadoo Tha Fazaon Mein.
Har Saans GazalfaaN Tha Kal Raat Jahan Main Tha.

Dareeya-E Mahobbat Mein Qashti Thi Jawaani Ki.
Jazbaat Ka Tufaan Tha Kal Raat Jahan Main Tha.

Maahtaab Tha Bahon Mein Jalwe The Nigaahon Mein.
Har Simt Charaaga Tha Kal Raat Jahan Main Tha



About the Author

Leave a Reply