Urdu Poetry: Intezar-e saba raha barson By Mohsin Naqvi
Intezar-e saba raha barson,
Ik dareecha khula raha barson.
Aik din unka pyar barsa tha,
Aur main bheegta raha barson.
Un ki aankhon k jaam yaad rahe,
Bin piye bhi nasha raha barson.
Tab kahin ja k ik ghazal likhi,
Main usay sochta raha barson.
Faasle kam na ho sake Mohsin’
Aamna saamna raha barson..
Poet: Mohsin Naqvi





