Urdu Poetry: kabhi akele main milkar jhanjhod doonga usse By Rahat Indori
kabhi akele main milkar jhanjhod doonga usse
jahan jahan se wo toota hai jod doonga usse
mujhe chod gaya ye kamaal hai uska
irada maine kiya tha k chod doonga usse
paseene baant-ta phirta hai har taraf sooraj
kabhi jo haath laga to nichod doonga usse
maza chakha k hi maana hoon main bhi duniya ko
samjh rahi thi k aise hi chod doonga usse
bacha k rakhta hai khud ko wo mujhse shseesha badan
usse ye dar hai k tod phod doonga usse
Poet: Rahat Indori





